Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

but ki manind na apne ko banae rakhna

Meenu Bakhshi

but ki manind na apne ko banae rakhna

Meenu Bakhshi

MORE BYMeenu Bakhshi

    but mānind na apne ko banā.e rakhnā

    jis jagah rahnā vahāñ dhuum machā.e rakhnā

    ḳhud ko dariyā meñ na qatroñ-sā milā.e rakhnā

    munfarid hone ehsās dilā.e rakhnā

    kaam farzāna-e-duniyā nahīñ ai nāseh

    parcham-e-’ishq zamāne meñ uThā.e rakhnā

    chashm-e-maḳhlūq hai mīzān razā.e maulā

    chashm-e-maḳhlūq meñ ḳhud ko na girā.e rakhnā

    tujh ko denā ho agar zulmat-e-hijrāñ ko shikast

    sham.a bujh jaaye magar dil na bujhā.e rakhnā

    qalb-e-kHuddār ḳhātir to hai zillat sabab

    lau sadā us but-e-kāfir se lagā.e rakhnā

    jis se miltī ho har ik lahza ġhazal ḳhushbū

    sahn-e-ehsās meñ vo phuul khilā.e rakhnā

    mere dil ko to kisī haal meñ manzūr nahīñ

    fikr-e-duniyā meñ tirī yaad bhulā.e rakhnā

    but ki manind na apne ko banae rakhna

    jis jagah rahna wahan dhum machae rakhna

    KHud ko dariya mein na qatron-sa milae rakhna

    munfarid hone ka ehsas dilae rakhna

    kaam farzana-e-duniya ka nahin ai naseh

    parcham-e-’ishq zamane mein uThae rakhna

    chashm-e-maKHluq hai mizan razae maula

    chashm-e-maKHluq mein KHud ko na girae rakhna

    tujh ko dena ho agar zulmat-e-hijran ko shikast

    shama bujh jaye magar dil na bujhae rakhna

    qalb-e-kHuddar ki KHatir to hai zillat ka sabab

    lau sada us but-e-kafir se lagae rakhna

    jis se milti ho har ek lahza ghazal ki KHushbu

    sahn-e-ehsas mein wo phul khilae rakhna

    mere dil ko to kisi haal mein manzur nahin

    fikr-e-duniya mein teri yaad bhulae rakhna

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now