hawa jab diye ko bujhane lagi
havā jab diye ko bujhāne lagī
mujhe aap kī yaad aane lagī
bhalā us kā maiñ ne bigāḌā hai kyā
ye duniyā mujhe kyuuñ satāne lagī
tire dar pe aake mujhe ye lagā
mirī zindagī ab Thikāne lagī
huā kyā vahāñ ye na pūchho miyāñ
baġhāvat jahāñ sar uThāne lagī
chaman meñ ye kaun aaj aane ko hai
havā chādar-e-gul bichhāne lagī
sitam hai vahī yaad aayā bahut
jise apne dil se bhulāne lagī
nigāhoñ meñ phir mausam-e-hijr hai
udāsī har ik samt chhāne lagī
mire dil meñ ab dard uThne lagā
mohabbat tirī rañg laane lagī
hawa jab diye ko bujhane lagi
mujhe aap ki yaad aane lagi
bhala us ka main ne bigaDa hai kya
ye duniya mujhe kyun satane lagi
tere dar pe aake mujhe ye laga
meri zindagi ab Thikane lagi
hua kya wahan ye na puchho miyan
baghawat jahan sar uThane lagi
chaman mein ye kaun aaj aane ko hai
hawa chadar-e-gul bichhane lagi
sitam hai wahi yaad aaya bahut
jise apne dil se bhulane lagi
nigahon mein phir mausam-e-hijr hai
udasi har ek samt chhane lagi
mere dil mein ab dard uThne laga
mohabbat teri rang lane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.