na gul-e-bahaar ki shefta na fida-e-sarw sahi hun main
na gul-e-bahār kī shefta na fidā-e-sarv sahī huuñ maiñ
mujhe kyā ġharaz kisī aur se tire vāste hī banī huuñ maiñ
na to ārzū-e-najāt-e-ġham na to justajū-e-nishāt-e-jāñ
ye batā de ai mirī be-ḳhudī ye kahāñ pe aake khaḌī huuñ maiñ
na ho kyuuñ ye jaañ se azīz-tar mirī sajda-gāh-e-vafā hai ye
huā haal jo vo batā.ūñ kyā tire dar se jab bhī uThī huuñ maiñ
mire dil ko terī ḳhabar bhī hai tirī har adā pe nazar bhī hai
kahāñ mujh se duur huā hai tū kahāñ tujh se duur huī huuñ maiñ
mujhe apne husn-e-vajūd se kabhī kar na pā.egā tū judā
tū jahān-e-dil kā jo chāñd hai mirī jaañ tirī chāñdnī huuñ maiñ
mujhe putliyoñ meñ basā.e rakh mujhe apne dil se lagā.e rakh
tirī ārzū-e-hayāt huuñ maiñ burī huuñ yā ki bhalī huuñ maiñ
mirī zindagī se hai munsalik tire ahd-e-māzī kī dāstāñ
tirā āshiyāñ thā kabhī jahāñ usī shāḳh-e-gul kī kalī huuñ maiñ
na gul-e-bahaar ki shefta na fida-e-sarw sahi hun main
mujhe kya gharaz kisi aur se tere waste hi bani hun main
na to aarzu-e-najat-e-gham na to justaju-e-nishat-e-jaan
ye bata de ai meri be-KHudi ye kahan pe aake khaDi hun main
na ho kyun ye jaan se aziz-tar meri sajda-gah-e-wafa hai ye
hua haal jo wo bataun kya tere dar se jab bhi uThi hun main
mere dil ko teri KHabar bhi hai teri har ada pe nazar bhi hai
kahan mujh se dur hua hai tu kahan tujh se dur hui hun main
mujhe apne husn-e-wajud se kabhi kar na paega tu juda
tu jahan-e-dil ka jo chand hai meri jaan teri chandni hun main
mujhe putliyon mein basae rakh mujhe apne dil se lagae rakh
teri aarzu-e-hayat hun main buri hun ya ki bhali hun main
meri zindagi se hai munsalik tere ahd-e-mazi ki dastan
tera aashiyan tha kabhi jahan usi shaKH-e-gul ki kali hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.