raaz-e-husn-o-’ishq jab tujh par ayan ho jaega
rāz-e-husn-o-'ishq jab tujh par ayaañ ho jā.egā
to yaqīnan zindagī kā tarjumāñ ho jā.egā
jab tirā jalva nigāhoñ se nihāñ ho jā.egā
ashk jo Thahrā huā hai vo ravāñ ho jā.egā
ishq meñ jab nutq par qadġhan lagā.ī jā.egī
qissa-e-dil āñkhoñ āñkhoñ meñ bayāñ ho jā.egā
kyā pata thā mausam-e-gul dil pe Dhā.egā sitam
kyā ḳhabar thī mehrbāñ nā-mehrbāñ ho jā.egā
harf-e-muhmal kī tarah maiñ bhī miTā dī jā.ūñgī
lafz-e-lā-yā'nī sā tū bhī be-nishāñ ho jā.egā
mujh pe mashq-e-nāz kar zālim ba-andāz-e-vafā
is bahāne mere dil kā imtihāñ ho jā.egā
aisā lagtā thā kahāñ bachpan meñ us ko dekh kar
fitna-e-dil vo banegā jab javāñ ho jā.egā
kyuuñ fanā-fil-'ishq ye mirā dil-e-muztar na ho
terī ḳhātir miTne vaalā jāvedāñ ho jā.egā
hasrat-e-qatra hai ham-āhañgī-e-mauj-e-muhīt
jab ye hasrat puurī hogī be-karāñ ho jā.egā
raaz-e-husn-o-'ishq jab tujh par ayan ho jaega
to yaqinan zindagi ka tarjuman ho jaega
jab tera jalwa nigahon se nihan ho jaega
ashk jo Thahra hua hai wo rawan ho jaega
ishq mein jab nutq par qadghan lagai jaegi
qissa-e-dil aankhon aankhon mein bayan ho jaega
kya pata tha mausam-e-gul dil pe Dhaega sitam
kya KHabar thi mehrban na-mehrban ho jaega
harf-e-muhmal ki tarah main bhi miTa di jaungi
lafz-e-la-ya'ni sa tu bhi be-nishan ho jaega
mujh pe mashq-e-naz kar zalim ba-andaz-e-wafa
is bahane mere dil ka imtihan ho jaega
aisa lagta tha kahan bachpan mein us ko dekh kar
fitna-e-dil wo banega jab jawan ho jaega
kyun fana-fil-'ishq ye mera dil-e-muztar na ho
teri KHatir miTne wala jawedan ho jaega
hasrat-e-qatra hai ham-ahangi-e-mauj-e-muhit
jab ye hasrat puri hogi be-karan ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.