jalwa-e-mah-e-mubin phul ki rangat jaisi
jalva-e-māh-e-mubīñ phuul kī rañgat jaisī
koī sūrat na milī aap kī sūrat jaisī
rāt-bhar sham.a bhī chup-chāp jalī jaatī thī
maiñ bhī ḳhāmosh thī us bazm meñ mūrat jaisī
kūcha-e-yār meñ rāhat na mile kyuuñ dil ko
hai vahāñ āb-o-havā gulshan-e-jannat jaisī
kyuuñ adāvat pe tirī ho na mohabbat kā gumāñ
ye adāvat bhī tirī jab hai mohabbat jaisī
mujh ko yaad aa.e bahut agle dinoñ ke qisse
kaan meñ aa.ī sadā jab bhī tilāvat jaisī
kuchh dinoñ se hai ajab haal mirā ai hamdam
dil meñ uThtī hai ḳhalish ahd-e-mohabbat jaisī
vo nazar aaj bhī pur-lutf hai merī ḳhātir
avvalīñ shaam mulāqāt kī saa.at jaisī
jalwa-e-mah-e-mubin phul ki rangat jaisi
koi surat na mili aap ki surat jaisi
raat-bhar shama bhi chup-chap jali jati thi
main bhi KHamosh thi us bazm mein murat jaisi
kucha-e-yar mein rahat na mile kyun dil ko
hai wahan aab-o-hawa gulshan-e-jannat jaisi
kyun adawat pe teri ho na mohabbat ka guman
ye adawat bhi teri jab hai mohabbat jaisi
mujh ko yaad aae bahut agle dinon ke qisse
kan mein aai sada jab bhi tilawat jaisi
kuchh dinon se hai ajab haal mera ai hamdam
dil mein uThti hai KHalish ahd-e-mohabbat jaisi
wo nazar aaj bhi pur-lutf hai meri KHatir
awwalin sham mulaqat ki saat jaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.