mere dard-e-dil ki kuchh bhi jo tujhe KHabar nahin hai
mire dard-e-dil kī kuchh bhī jo tujhe ḳhabar nahīñ hai
ye batā de mujh ko kyā tū mirā chāra-gar nahīñ hai
jo ye intihā nahīñ hai mire sabr kī to kyā hai
ki bharā hai ġham se siina magar aañkh tar nahīñ hai
ye rah-e-vafā meñ tere jo nuqūsh-e-pā haiñ raushan
kisī lamha gumrahī kā mire dil ko dar nahīñ hai
tire ġham se ho jo ḳhālī na vo dil hī dil hai pyāre
jo tujhe na dekh paa.e vo nazar nazar nahīñ hai
tirī justujū meñ āḳhir maiñ kahāñ pahuñch ga.ī huuñ
mujhe kuchh pata nahīñ hai mujhe kuchh ḳhabar nahīñ hai
vo gulāb hī nahīñ hai jo ho be-niyāz bū se
jo ho dard-o-ġham se ḳhālī vo dil bashar nahīñ hai
kabhī ḳhauf koh-o-dariyā kabhī rañj dasht-o-sahrā
na hoñ jis meñ mushkileñ vo mirī rahguzar nahīñ hai
mere dard-e-dil ki kuchh bhi jo tujhe KHabar nahin hai
ye bata de mujh ko kya tu mera chaara-gar nahin hai
jo ye intiha nahin hai mere sabr ki to kya hai
ki bhara hai gham se sina magar aankh tar nahin hai
ye rah-e-wafa mein tere jo nuqush-e-pa hain raushan
kisi lamha gumrahi ka mere dil ko dar nahin hai
tere gham se ho jo KHali na wo dil hi dil hai pyare
jo tujhe na dekh pae wo nazar nazar nahin hai
teri justuju mein aaKHir main kahan pahunch gai hun
mujhe kuchh pata nahin hai mujhe kuchh KHabar nahin hai
wo gulab hi nahin hai jo ho be-niyaz bu se
jo ho dard-o-gham se KHali wo dil bashar nahin hai
kabhi KHauf koh-o-dariya kabhi ranj dasht-o-sahra
na hon jis mein mushkilen wo meri rahguzar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.