hum ghalat ehtimal rakhte the
ham ġhalat ehtimāl rakhte the
tujh se kyā kyā ḳhayāl rakhte the
na sunā tū ne kyā kahīñ zālim
varna ham arz-e-hāl rakhte the
na rahā intizār bhī ai yaas
ham umīd-e-visāl rakhte the
jauhar-e-ā.īna ne dikhlāyā
sāda-rū jo kamāl rakhte the
na sunā thā kaso ne ye to ġhurūr
sabhī dilbar jamāl rakhte the
aah vo din ga.e ki ham bhī 'asar'
dil ko apne sambhāl rakhte the
hum ghalat ehtimal rakhte the
tujh se kya kya KHayal rakhte the
na suna tu ne kya kahin zalim
warna hum arz-e-haal rakhte the
na raha intizar bhi ai yas
hum umid-e-visal rakhte the
jauhar-e-aina ne dikhlaya
sada-ru jo kamal rakhte the
na suna tha kaso ne ye to ghurur
sabhi dilbar jamal rakhte the
aah wo din gae ki hum bhi 'asar'
dil ko apne sambhaal rakhte the
- Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 217)
- Author : Mir Asar
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.