maza hai zindagani ka agar ho pas dilbar ke
maza hai zindagani ka agar ho pas dilbar ke
Mira'n Shah Jalandhari
MORE BYMira'n Shah Jalandhari
maza hai zindagānī kā agar ho paas dilbar ke
nikal kar vahm-e-hastī se guzar ho paas dilbar ke
nahīñ hai ishq-bāzoñ ko raqīboñ se koī matlab
ruḳh-e-jānāñ pe tū kar ke nazar ho paas dilbar ke
sanam kī be-niyāzī se haiñ Darte ālim-o-fāzil
ḳhudī ko duur kar phir be-ḳhatar ho paas dilbar ke
na ho maiñ tū kī bū hargiz tū aisā saaf ho dil se
tū apne aap se bas bā-ḳhabar ho paas dilbar ke
ye dil se maz.hab-o-millat kā jhagḌā chhoḌ de vaa.iz
jo ho kāfir ho yā momin magar ho paas dilbar ke
vo dilbar duur samjhā hai terī ye ḳhaas ġhaflat hai
agar hai nahno-aqrab kā asar ho paas dilbar ke
uThā de 'mīrāñ' shaah dil se taqāzā vahm-e-dūrī kā
karam altāf se gañj-e-shakar ho paas dilbar ke
maza hai zindagani ka agar ho pas dilbar ke
nikal kar wahm-e-hasti se guzar ho pas dilbar ke
nahin hai ishq-bazon ko raqibon se koi matlab
ruKH-e-jaanan pe tu kar ke nazar ho pas dilbar ke
sanam ki be-niyazi se hain Darte aalim-o-fazil
KHudi ko dur kar phir be-KHatar ho pas dilbar ke
na ho main tu ki bu hargiz tu aisa saf ho dil se
tu apne aap se bas ba-KHabar ho pas dilbar ke
ye dil se mazhab-o-millat ka jhagDa chhoD de waiz
jo ho kafir ho ya momin magar ho pas dilbar ke
wo dilbar dur samjha hai teri ye KHas ghaflat hai
agar hai nahno-aqrab ka asar ho pas dilbar ke
uTha de 'miran' shah dil se taqaza wahm-e-duri ka
karam altaf se ganj-e-shakar ho pas dilbar ke
- Book : Guldasta-e-meeran Shah (Pg. 16)
- Author : Meeran Shan Jalandhari
- Publication : Hameedia Steam Press Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.