mere dil se koi puchhe ki tum ho aur kya tum ho
mire dil se koī pūchhe ki tum ho aur kyā tum ho
nasīb-e-dushmanāñ ho dushmanoñ kā mudda.ā tum ho
nihāñ ham se hī rahte ho vagarna jā-ba-jā tum ho
guloñ meñ rañg-ārā ġhunchoñ meñ nig.hat-fazā tum ho
nahīñ jab vāsta ham se to phir iġhmāz kaise haiñ
kaaro iġhmāz bhī un se ki jin kī āshnā tum ho
rahā daur-e-jahāñ qāyam kabhī ho jā.egā milnā
hamāre dam meñ dam baaqī hai aur nām-e-ḳhudā tum ho
gire jaate ho nazroñ se mire jī se utarte ho
har ek chashm-e-tamāshā kā tamāshā ho gayā tum ho
vafā par naaz karte ho dikhāo kuchh vafā kar ke
isī begāna-vārī par kaheñ ham bā-vafā tum ho
miloge ham se tum aakar ye sab kahne kī bāteñ haiñ
karoge us kā dil ThanDā ki jis ke mubtalā tum ho
na dete dil kabhī tum ko agar pahle samajh lete
ki aise bevafā ho aur ġharaz ke āshnā tum ho
hamārī aarzū dil kī tumhārī jumbish-e-lab par
tamannā ab bar aatī hai agar kuchh lab-kushā tum ho
na nikle kaam jab tum se tumhārī phir ḳhushāmad kyuuñ
jahāñ meñ aur bhī shāhid haiñ kyā ek dilrubā tum ho
sanam bhī tum nahīñ but bhī nahīñ jo tum ko ham pūjeñ
tumhāre naaz uThā.eñ kyā ḳhudā.ī meñ ḳhudā tum ho
tumhāre ghar se ham nikle ḳhudā ke ghar se tum nikle
tumhīñ īmān se kah do ki kāfir ham haiñ yā tum ho
jab āñkheñ chaar hotī haiñ kudūrat jaatī rahtī hai
nahīñ hote magar tum saaf vo kāfir-adā tum ho
zamāna ko badalne do ḳhudā vo din bhī kar degā
tamāshā dekh lenā ham se karte iltijā tum ho
ye sab uḌ jā.egī naḳhvat gale se mai utarne do
banā deñge tumheñ ham bhī ki kyā the kyā se kyā tum ho
ġhazal ye duur jā.egī likho us rañg se 'rāqim'
ki har insāf-parvar kī zabāñ par marhabā tum ho
mere dil se koi puchhe ki tum ho aur kya tum ho
nasib-e-dushmanan ho dushmanon ka muddaa tum ho
nihan hum se hi rahte ho wagarna ja-ba-ja tum ho
gulon mein rang-ara ghunchon mein nighat-faza tum ho
nahin jab wasta hum se to phir ighmaz kaise hain
karo ighmaz bhi un se ki jin ki aashna tum ho
raha daur-e-jahan qayam kabhi ho jaega milna
hamare dam mein dam baqi hai aur nam-e-KHuda tum ho
gire jate ho nazron se mere ji se utarte ho
har ek chashm-e-tamasha ka tamasha ho gaya tum ho
wafa par naz karte ho dikhao kuchh wafa kar ke
isi begana-wari par kahen hum ba-wafa tum ho
miloge hum se tum aakar ye sab kahne ki baaten hain
karoge us ka dil ThanDa ki jis ke mubtala tum ho
na dete dil kabhi tum ko agar pahle samajh lete
ki aise bewafa ho aur gharaz ke aashna tum ho
hamari aarzu dil ki tumhaari jumbish-e-lab par
tamanna ab bar aati hai agar kuchh lab-kusha tum ho
na nikle kaam jab tum se tumhaari phir KHushamad kyun
jahan mein aur bhi shahid hain kya ek dilruba tum ho
sanam bhi tum nahin but bhi nahin jo tum ko hum pujen
tumhaare naz uThaen kya KHudai mein KHuda tum ho
tumhaare ghar se hum nikle KHuda ke ghar se tum nikle
tumhin iman se kah do ki kafir hum hain ya tum ho
jab aankhen chaar hoti hain kudurat jati rahti hai
nahin hote magar tum saf wo kafir-ada tum ho
zamana ko badalne do KHuda wo din bhi kar dega
tamasha dekh lena hum se karte iltija tum ho
ye sab uD jaegi naKHwat gale se mai utarne do
bana denge tumhein hum bhi ki kya the kya se kya tum ho
ghazal ye dur jaegi likho us rang se 'raqim'
ki har insaf-parwar ki zaban par marhaba tum ho
- Book : Kulliyat-e-Raqim (Pg. 145)
- Author : Raqim Dehlavi
- Publication : Afzal-ul-Matabe, Dehli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.