meri shaeri meri zindagi meri bazm-e-sher-o-suKHan mein aa
meri shaeri meri zindagi meri bazm-e-sher-o-suKHan mein aa
Kamta Prashad Hosh
MORE BYKamta Prashad Hosh
mirī shā.erī mirī zindagī mirī bazm-e-sher-o-suḳhan meñ aa
mirī bekalī kī bahār ban mire ujḌe dil ke chaman meñ aa
mirī raat kī hai tu chāñdnī mire din kī tu hī to dhuup hai
mire dil kā tu hī hai aasrā mirī saañs kī tu thakan meñ aa
mirī raah meñ haiñ musībateñ mirī manziloñ pe nigāh hai
mirī uljhanoñ ko sañvār de mire zaḳhm-e-dil kī chhban meñ aa
abhī daldaloñ meñ samāj hai abhī zālimoñ hī kā raaj hai
maiñ to ranj-o-ġham kā shikār huuñ mirī himmatoñ kī shikan meñ aa
mire lab pe aaj bhī mohr hai mirā dil to ab bhī ġhulām hai
mirī ḳhāmushī kī zabān ban mire josh-e-dil kī lagan meñ aa
hai adū-e-jāñ mirā āsmāñ ye zamīñ bhī mujh se ḳhilāf hai
mirī badliyoñ ko tu chiir de nayā chāñd le ke gagan meñ aa
jo ġharīb dil ko baḌhā sake jo ghamanD sar ko jhukā sake
mirī ārzū-e-nasīb ban mirī lekhnī ke tu fan meñ aa
mire nāvakoñ kī haiñ niyyateñ mirī bahr-e-ġham meñ vafāt ho
mirī naav mauj meñ thaam le mire sāhiloñ ke phaban meñ aa
mirī turbatoñ meñ na dam rahā mirī hasratoñ meñ na jaan hai
mire hosh kā tu charāġh ban mirī raushnī kī kiran meñ aa
meri shaeri meri zindagi meri bazm-e-sher-o-suKHan mein aa
meri bekali ki bahaar ban mere ujDe dil ke chaman mein aa
meri raat ki hai tu chandni mere din ki tu hi to dhup hai
mere dil ka tu hi hai aasra meri sans ki tu thakan mein aa
meri rah mein hain musibaten meri manzilon pe nigah hai
meri uljhanon ko sanwar de mere zaKHm-e-dil ki chhban mein aa
abhi daldalon mein samaj hai abhi zalimon hi ka raj hai
main to ranj-o-gham ka shikar hun meri himmaton ki shikan mein aa
mere lab pe aaj bhi mohr hai mera dil to ab bhi ghulam hai
meri KHamushi ki zaban ban mere josh-e-dil ki lagan mein aa
hai adu-e-jaan mera aasman ye zamin bhi mujh se KHilaf hai
meri badliyon ko tu chir de naya chand le ke gagan mein aa
jo gharib dil ko baDha sake jo ghamanD sar ko jhuka sake
meri aarzu-e-nasib ban meri lekhni ke tu fan mein aa
mere nawakon ki hain niyyaten meri bahr-e-gham mein wafat ho
meri naw mauj mein tham le mere sahilon ke phaban mein aa
meri turbaton mein na dam raha meri hasraton mein na jaan hai
mere hosh ka tu charagh ban meri raushni ki kiran mein aa
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 138)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.