ilahi KHair karna ishq ki manzil pareshan hai
ilahi KHair karna ishq ki manzil pareshan hai
Mirza Fida Ali Shah Manan
MORE BYMirza Fida Ali Shah Manan
ilāhī ḳhair karnā ishq kī manzil pareshāñ hai
idhar hai iztirāb-e-dil udhar qātil pareshāñ hai
sunā naala jo karte mujh ko ġhairoñ se ye farmāyā
vahī āvāz hai ye jis se merā dil pareshāñ hai
nigāh-e-nāz ne maqtal banā rakhā hai a.alam ko
koī dam toḌtā hai aur koī bismil pareshāñ hai
bagūla jab koī uThā sabā sahrā meñ chillā.ī
ġhubār-e-qais tham jā parda-e-mahmil pareshāñ hai
na jaane kab mayassar ho visāl-e-yār ai 'mannan'
ki us ke hijr meñ apnā dil-e-bismil pareshāñ hai
ilahi KHair karna ishq ki manzil pareshan hai
idhar hai iztirab-e-dil udhar qatil pareshan hai
suna nala jo karte mujh ko ghairon se ye farmaya
wahi aawaz hai ye jis se mera dil pareshan hai
nigah-e-naz ne maqtal bana rakha hai aalam ko
koi dam toDta hai aur koi bismil pareshan hai
bagula jab koi uTha saba sahra mein chillai
ghubar-e-qais tham ja parda-e-mahmil pareshan hai
na jaane kab mayassar ho visal-e-yar ai 'mannan'
ki us ke hijr mein apna dil-e-bismil pareshan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.