mohabbat di to aisi ki mohabbat di muqaddar mein
mohabbat dī to aisī kī mohabbat dī muqaddar meñ
mah-e-nau dekh kar dekhī jo sūrat āb-e-ḳhanjar meñ
lahū kahte haiñ jis ko vo kahāñ shaidā-e-muztar meñ
ba-rañg-e-ḳhūñ chhalaktā hai ġham-e-dil dīda-e-tar meñ
huā kartī hai nafrat bhī na ye nafrat qayāmat ke
ki saaya mujh se rahtā hai gurezāñ koī dilbar meñ
nahīñ ma.alūm kis kis kā lahū ḳhanjar ne chāTā hai
ki har jauhar ba-rañg-e-gul hai mauj-e-āb-e-ḳhanjar meñ
masarrat vasl kī kyā ho jo guzre bātoñ bātoñ meñ
ḳhayāl-e-shām-e-furqat meñ payām-e-sub.h-e-ḳhāvar meñ
gavārā kis ko ho saaqī ye bū-e-ġhair sahbā ke
kisī ne pī hai sāġhar meñ jo bū hai ġhair-e-sāġhar meñ
ga.e pahlū se tum kyā ghar meñ hañgāma thā mahshar kā
charāġh-e-sub.h-gāhī meñ jamāl-e-sham-e-anvar meñ
masarrat dil kī kahte hai ki muñh se sham-e-mahfil ke
barābar phuul jhaḌte haiñ koī aane ko hai ghar meñ
hamāre vasl kī shab bhī ajab tashvīsh meñ guzrī
talāsh-e-vasl meñ dil thā nigāheñ sub.h-e-ḳhāvar meñ
na tum zid apnī chhoḌoge na ham se vaz.a chūTegī
chalo bas ho chukā milnā nahīñ milnā muqaddar meñ
kuchh us ke dil meñ zikr-e-vasl aisā chhup ke baiThā hai
vafā muzmar ma.ānī meñ ma.ānī vaqf-e-masdar meñ
taqāzā sun ke kahte haiñ ye sūrat hai bulāne kī
koī muñh pahle banvā.e bulā.e phir hameñ ghar meñ
huā hai zauq ārā.ish kā phir us husn-ārā ko
koī de de uThā kar ā.īna dast-e-sikandar meñ
agar ham tum salāmat haiñ kabhī khul jā.egī qismat
isī daur-e-layālī meñ isī gardūñ ke chakkar meñ
jalātā hai mujhe ye maah se mahtāb ban ban kar
guzartī hai qayāmat mujh pe yād-e-rū-e-dil-bar meñ
hameñ nisbat hai jannat se ki ham bhī nasl-e-ādam haiñ
hamārā hissa 'rāqim' hai iram meñ hauz-e-kausar meñ
mohabbat di to aisi ki mohabbat di muqaddar mein
mah-e-nau dekh kar dekhi jo surat aab-e-KHanjar mein
lahu kahte hain jis ko wo kahan shaida-e-muztar mein
ba-rang-e-KHun chhalakta hai gham-e-dil dida-e-tar mein
hua karti hai nafrat bhi na ye nafrat qayamat ke
ki saya mujh se rahta hai gurezan koi dilbar mein
nahin malum kis kis ka lahu KHanjar ne chaTa hai
ki har jauhar ba-rang-e-gul hai mauj-e-ab-e-KHanjar mein
masarrat wasl ki kya ho jo guzre baaton baaton mein
KHayal-e-sham-e-furqat mein payam-e-subh-e-KHawar mein
gawara kis ko ho saqi ye bu-e-ghair sahba ke
kisi ne pi hai saghar mein jo bu hai ghair-e-saghar mein
gae pahlu se tum kya ghar mein hangama tha mahshar ka
charagh-e-subh-gahi mein jamal-e-sham-e-anwar mein
masarrat dil ki kahte hai ki munh se sham-e-mahfil ke
barabar phul jhaDte hain koi aane ko hai ghar mein
hamare wasl ki shab bhi ajab tashwish mein guzri
talash-e-wasl mein dil tha nigahen subh-e-KHawar mein
na tum zid apnī chhoDoge na hum se waza chuTegi
chalo bas ho chuka milna nahin milna muqaddar mein
kuchh us ke dil mein zikr-e-wasl aisa chhup ke baiTha hai
wafa muzmar maani mein maani waqf-e-masdar mein
taqaza sun ke kahte hain ye surat hai bulane ki
koi munh pahle banwae bulae phir hamein ghar mein
hua hai zauq aaraish ka phir us husn-ara ko
koi de de uTha kar aaina dast-e-sikandar mein
agar hum tum salamat hain kabhi khul jaegi qismat
isi daur-e-layali mein isi gardun ke chakkar mein
jalata hai mujhe ye mah se mahtab ban ban kar
guzarti hai qayamat mujh pe yaad-e-ru-e-dil-bar mein
hamein nisbat hai jannat se ki hum bhi nasl-e-adam hain
hamara hissa 'raqim' hai iram mein hauz-e-kausar mein
- Book : Kulliyat-e-Raqim (Pg. 130)
- Author : Raqim Dehlavi
- Publication : Afzal-ul-Matabe, Dehli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.