dida-e-pur-ab ki dariya-dili kuchh kam nahi
dīda-e-pur-āb kī dariyā-dilī kuchh kam nahii.
hijr ke maare huoñ kī zindagī kuchh kam nahii.
rāz-e-mai-kHāna ho ifshā yā vo poshīda rahe
tishnā-e-kāmāñ azal kī tishnagī kuchh kam nahīñ
kah rahī hai sub.h ke be-nūr tāroñ kī chamak
tergī-e-shām-e-ġham kī raushnī kuchh kam nahii.
rah-guzār-e-mārfat tak ho rasā.ī yā na ho
jazba-e-pur-shauq kī vāraftagī kuchh kam nahii.
tū agar nāzāñ hai apne husn par mehr-o-mubīñ
dil bhī vo zarra hai jis kī raushnī kuchh kam nahii.
sajda-e-makr-o-riyā ne kar diyā rusvā-e-kHalq
varna zāhid terā zauq-e-bandagī kuchh kam nahii.
be-kHudī-e-shauq meñ 'afsar' ḳhudī kā kyā savāl
ishq ke har gaam par dīvāngī kuchh kam nahii.
dida-e-pur-ab ki dariya-dili kuchh kam nahi
hijr ke mare huon ki zindagi kuchh kam nahi
raaz-e-mai-kHana ho ifsha ya wo poshida rahe
tishna-e-kaaman azal ki tishnagi kuchh kam nahin
kah rahi hai subh ke be-nur taron ki chamak
tergi-e-sham-e-gham ki raushni kuchh kam nahi
rah-guzar-e-marfat tak ho rasai ya na ho
jazba-e-pur-shauq ki waraftagi kuchh kam nahi
tu agar nazan hai apne husn par mehr-o-mubin
dil bhi wo zarra hai jis ki raushni kuchh kam nahi
sajda-e-makr-o-riya ne kar diya ruswa-e-kHalq
warna zahid tera zauq-e-bandagi kuchh kam nahi
be-kHudi-e-shauq mein 'afsar' KHudi ka kya sawal
ishq ke har gam par diwangi kuchh kam nahi
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 68)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.