na-mutmain hain ghunche tartib-e-gulistan se
nā-mutma.in haiñ ġhunche tartīb-e-gulistāñ se
apnī ravish badal de kah do ye bāġhbāñ se
aisī musībateñ to hargiz na thiiñ vatan meñ
pardesh mujh ko laa.ī qismat merī kahāñ se
jo haiñ razā ke bande jo haiñ mujāhid-e-haq
vo bhāgte nahii. haiñ maidān-e-imtihāñ se
'afsar' mushā.eron meñ kuchh āj-kal ke shā.ir
paḌhte haiñ sher kyā kyā lā kar kahāñ kahāñ se
na-mutmain hain ghunche tartib-e-gulistan se
apni rawish badal de kah do ye baghban se
aisi musibaten to hargiz na thin watan mein
pardesh mujh ko lai qismat meri kahan se
jo hain raza ke bande jo hain mujahid-e-haq
wo bhagte nahi hain maidan-e-imtihan se
'afsar' mushaeron mein kuchh aaj-kal ke shair
paDhte hain sher kya kya la kar kahan kahan se
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 69)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.