hai wo ek jalwa idhar-udhar kabhi is taraf kabhi us taraf
hai wo ek jalwa idhar-udhar kabhi is taraf kabhi us taraf
Akbar Warsi Meerthi
MORE BYAkbar Warsi Meerthi
hai vo ek jalva idhar-udhar kabhī is taraf kabhī us taraf
kabhī arsh par kabhī farsh par kabhī is taraf kabhī us taraf
kahīñ zāt-e-haq kahīñ mustafā kabhī is tarah kabhī us tarah
hai kahīñ bashīr kahīñ bashar kabhī is taraf kabhī us taraf
kahīñ aisā koī makāñ nahīñ ki jahāñ vo jān-e-jahāñ nahīñ
haiñ sab us se taaza shajar hajar kabhī is taraf kabhī us taraf
gayā kohkan isī zauq meñ jalā qais ātish-e-shauq meñ
tire shobadoñ ke uḌe sharar kabhī is taraf kabhī us taraf
kahīñ mil ḳhudā ke liye sanam kabhī dair pahuñchā kabhī haram
maiñ ḳharāb phirtā huuñ dar-ba-dar kabhī is taraf kabhī us taraf
yahī ḳhair hai kahīñ shar na ho koī be-gunāh idhar na ho
vo chale haiñ karte hue nazar kabhī is taraf kabhī us taraf
tirī mahr se kisī kaam kā na jigar rahā hai na dil rahā
ga.ī barchhī ban ke nazar utar kabhī is taraf kabhī us taraf
tire daur-daure huuñ sāqiyā vo milā sharāb-e-do-ātisha
gireñ mast mastoñ pe jhuum kar kabhī is taraf kabhī us taraf
tire rañg-e-husn ko dekhtā ye phirā hai 'akbar'-e-mubtalā
kabhī dasht meñ kabhī koh par kabhī is taraf kabhī us taraf
hai wo ek jalwa idhar-udhar kabhi is taraf kabhi us taraf
kabhi arsh par kabhi farsh par kabhi is taraf kabhi us taraf
kahin zat-e-haq kahin mustafa kabhi is tarah kabhi us tarah
hai kahin bashir kahin bashar kabhi is taraf kabhi us taraf
kahin aisa koi makan nahin ki jahan wo jaan-e-jahan nahin
hain sab us se taza shajar hajar kabhi is taraf kabhi us taraf
gaya kohkan isi zauq mein jala qais aatish-e-shauq mein
tere shobadon ke uDe sharar kabhi is taraf kabhi us taraf
kahin mil KHuda ke liye sanam kabhi dair pahuncha kabhi haram
main KHarab phirta hun dar-ba-dar kabhi is taraf kabhi us taraf
yahi KHair hai kahin shar na ho koi be-gunah idhar na ho
wo chale hain karte hue nazar kabhi is taraf kabhi us taraf
teri mahr se kisi kaam ka na jigar raha hai na dil raha
gai barchhi ban ke nazar utar kabhi is taraf kabhi us taraf
tere daur-daure hun saqiya wo mila sharab-e-do-atisha
giren mast maston pe jhum kar kabhi is taraf kabhi us taraf
tere rang-e-husn ko dekhta ye phira hai 'akbar'-e-mubtala
kabhi dasht mein kabhi koh par kabhi is taraf kabhi us taraf
- Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 40)
- Author : Mohammad Akbar Warsi
- Publication : Matba Majidi, Meerut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.