jis ke tum dilbar ho jis dil mein tumhaari yaad ho
jis ke tum dilbar ho jis dil mein tumhaari yaad ho
Akbar Warsi Meerthi
MORE BYAkbar Warsi Meerthi
jis ke tum dilbar ho jis dil meñ tumhārī yaad ho
vo hamesha ḳhaak chhāne vo sadā barbād ho
karke zaḳhmī chal diyā vo maiñ ye kahtā rah gayā
aur bhī ik vaar mujh par o sitam-ījād ho
mus.haf-e-ruḳhsār-e-jānāñ hifz karnā chāhiye
hāfiz-e-qur.āñ vahī hai jis ko qur.āñ yaad ho
sair kar de ab ki gulshan-bīñ hai hañgām-e-bahār
ham asīroñ kī rihā.ī ab to ai sayyād ho
rahzan-e-īmān tū jalva dikhā jaaye agar
but pujeñ mandir meñ masjid meñ ḳhudā kī yaad ho
huur kā dil chhīnte ho jin kī tum lete ho jaañ
par katarte ho parī ke aur ādam-zād ho
paḌhte rahte haiñ tumhārā hī sabaq ye aur tum
āshiqoñ ko bhuul jaate ho baḌe ustād ho
ham kareñ mashq-e-mohabbat tum kaaro mashq-e-sitam
harf jis ke ḳhūbsūrat hoñ usī par saad ho
qatl hone par maiñ raazī huuñ magar ye shart hai
tere hāthoñ se gale par ḳhanjar-e-faulād ho
jo tumhārī baat hai hai vo zamāna se judā
shoḳhiyāñ ījād karte ho baḌe ustād ho
khīñch kar talvār 'akbar' par chale ho be-dareġh
be-gunah ko qatl karte ho baḌe jallād ho
jis ke tum dilbar ho jis dil mein tumhaari yaad ho
wo hamesha KHak chhane wo sada barbaad ho
karke zaKHmi chal diya wo main ye kahta rah gaya
aur bhi ek war mujh par o sitam-ijad ho
mushaf-e-ruKHsar-e-jaanan hifz karna chahiye
hafiz-e-quran wahi hai jis ko quran yaad ho
sair kar de ab ki gulshan-bin hai hangam-e-bahaar
hum asiron ki rihai ab to ai sayyaad ho
rahzan-e-iman tu jalwa dikha jaye agar
but pujen mandir mein masjid mein KHuda ki yaad ho
hur ka dil chhinte ho jin ki tum lete ho jaan
par katarte ho pari ke aur aadam-zad ho
paDhte rahte hain tumhaara hi sabaq ye aur tum
aashiqon ko bhul jate ho baDe ustad ho
hum karen mashq-e-mohabbat tum karo mashq-e-sitam
harf jis ke KHubsurat hon usi par sad ho
qatl hone par main raazi hun magar ye shart hai
tere hathon se gale par KHanjar-e-faulad ho
jo tumhaari baat hai hai wo zamana se juda
shoKHiyan ijad karte ho baDe ustad ho
khinch kar talwar 'akbar' par chale ho be-daregh
be-gunah ko qatl karte ho baDe jallad ho
- Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 60)
- Author : Mohammad Akbar Warsi
- Publication : Matba Majidi, Meerut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.