na puchho hashr mein ek hashr mere dil pe Dhaenge
na pūchho hashr meñ ik hashr mere dil pe Dhā.eñge
ġhamoñ kī bhiiḌ meñ sālār jab nazroñ meñ ā.eñge
farishte dekhte hoñge tamāsha ’ishq-o-mastī kā
ruḳh-e-zebā dikhā kar dard ko vo phir jagā.eñge
rahegī kab talak bandish tere dīdār kī ham par
firāq-o-hijr ke sadme kahāñ tak ham uThā.eñge
baḌe ḳhush-baḳht haiñ ham se jo 'āshiq roz-e-mahshar meñ
jigar kī pyaas ko dīdār-e-jānāñ se bujhā.eñge
jab un ko dekh kar un kī taraf dauḌegā ye 'āshiq
vo apne ruḳh pe parda Daal kar ḳhud ko chhupā.eñge
‘huzaifa’ hashr meñ be-bas talāsh-e-yār meñ hogā
use māh-e-munavvar tab kahīñ chehra dikhā.eñge
na puchho hashr mein ek hashr mere dil pe Dhaenge
ghamon ki bhiD mein salar jab nazron mein aaenge
farishte dekhte honge tamasha ’ishq-o-masti ka
ruKH-e-zeba dikha kar dard ko wo phir jagaenge
rahegi kab talak bandish tere didar ki hum par
firaq-o-hijr ke sadme kahan tak hum uThaenge
baDe KHush-baKHt hain hum se jo 'ashiq roz-e-mahshar mein
jigar ki pyas ko didar-e-jaanan se bujhaenge
jab un ko dekh kar un ki taraf dauDega ye 'ashiq
wo apne ruKH pe parda Dal kar KHud ko chhupaenge
‘huzaifa’ hashr mein be-bas talash-e-yar mein hoga
use mah-e-munawwar tab kahin chehra dikhaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.