mujhe shauq-e-did mein pa ke gum wo naqab ulaT ke jo aa gae
mujhe shauq-e-did mein pa ke gum wo naqab ulaT ke jo aa gae
Sadiq Dehlvi
MORE BYSadiq Dehlvi
mujhe shauq-e-dīd meñ pā ke gum vo naqāb ulaT ke jo aa ga.e
nazar aur kuchh bhī na aa sakā vo merī nazar meñ samā ga.e
kahāñ apnī aisī talāsh thī kahāñ apnī aisī thī justujū
ye tere karam hī kī baat hai terī bārgāh meñ aa ga.e
mujhe tiira rāhoñ kā ġham nahīñ maiñ guzar hī jā.ūñgā ham-nashīñ
vo dikhā ke mujh ko ruḳh-e-mubī۔n mere dil meñ sham.a jalā ga.e
nahīñ be-ḳhabar vo kisī tarah use har tarah kā shu.ūr hai
jise apnī chashm-e-karam se vo kabhī ek jaam pilā ga.e
mujhe aazmā ke to dekh leñ ġham-e-do-jahāñ kā amiin huuñ
ye samajh liyā hai kisī ne kyuuñ ki jahāñ se ahl-e-vafā ga.e
tere hijr meñ hai vo haal ab ki bayāñ hai jis kā muhāl ab
liyā pūchh jis ne bhī haal jab to kuchh ashk aañkh meñ aa ga.e
vahī bazm-e-aish-o-nashāt hai vahī naġhma hai vahī saaz hai
nahīñ phir bhī dil ko sukūn kuchh vo payām aisā sunā ga.e
yahī fikr hai mujhe har ghaḌī na lagā deñ aag chaman ko bhī
jo sharāre barq ke bāġhbāñ merā āshiyāna jalā ga.e
tere ġham kī harsat-o-ārzū hai zabān-e-ishq meñ zindagī
jinheñ mil gayā hai ye mudda.ā vo maqām-e-zīst bhī pā ga.e
nahīñ kuchh ye mujh hī pe munhasir hai yahī jahāñ kī zabān par
vahī zarre aaj haiñ zau-fishāñ terī rah-guzar meñ jo aa ga.e
ye jo kaif-e-bāda ġhazal meñ hai use kyuuñ kamāl-e-suḳhan kahūñ
ye to 'sādiq' us kā surūr hai jo nigāh se vo pilā ga.e
mujhe shauq-e-did mein pa ke gum wo naqab ulaT ke jo aa gae
nazar aur kuchh bhi na aa saka wo meri nazar mein sama gae
kahan apni aisi talash thi kahan apni aisi thi justuju
ye tere karam hi ki baat hai teri bargah mein aa gae
mujhe tera rahon ka gham nahin main guzar hi jaunga ham-nashin
wo dikha ke mujh ko ruKH-e-mubi۔n mere dil mein shama jala gae
nahin be-KHabar wo kisi tarah use har tarah ka shuur hai
jise apni chashm-e-karam se wo kabhi ek jam pila gae
mujhe aazma ke to dekh len gham-e-do-jahan ka amin hun
ye samajh liya hai kisi ne kyun ki jahan se ahl-e-wafa gae
tere hijr mein hai wo haal ab ki bayan hai jis ka muhaal ab
liya puchh jis ne bhi haal jab to kuchh ashk aankh mein aa gae
wahi bazm-e-aish-o-nashat hai wahi naghma hai wahi saz hai
nahin phir bhi dil ko sukun kuchh wo payam aisa suna gae
yahi fikr hai mujhe har ghaDi na laga den aag chaman ko bhi
jo sharare barq ke baghban mera aashiyana jala gae
tere gham ki harsat-o-arzu hai zaban-e-ishq mein zindagi
jinhen mil gaya hai ye muddaa wo maqam-e-zist bhi pa gae
nahin kuchh ye mujh hi pe munhasir hai yahi jahan ki zaban par
wahi zarre aaj hain zau-fishan teri rah-guzar mein jo aa gae
ye jo kaif-e-baada ghazal mein hai use kyun kamal-e-suKHan kahun
ye to 'sadiq' us ka surur hai jo nigah se wo pila gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.