zor dikhlata hai kya-kya zoaf jism-e-zar ka
zor dikhlata hai kya-kya zoaf jism-e-zar ka
Munshi Amirullah Tasleem
MORE BYMunshi Amirullah Tasleem
zor dikhlātā hai kyā-kyā zo.af jism-e-zār kā
rañg uḌne ko tarastā hai mirī ruḳhsār kā
diid ke qābil hai joban sabz-o-rukHsār kā
mo.ajiza hai sabz honā aag par gulzār kā
rāt-din yūñhī paḌegī 'āshiqoñ kī gar nigāh
band ho jāygā rauzan ḳhud-baḳhud dīvār kā
bā'is-e-zīnat huā soz-e-javānī dahr meñ
dāġh-e-saudā ban gayā turra mirī dastār kā
duḳht-e-raz ke rū-ba-rū kyuuñ le chalā saaqī mujhe
ḳhuun hogā gardan-e-mīnā par istiġhfār kā
dahr meñ zālim hamesha rahte haiñ shādī-nasīb
kam nahīñ hotā kabhī ḳhanda-lab sūfār kā
kyā nasīm-e-āh bulbul ne khilāyā hai ise
daaġh kī detā hai bū har gul mere gulzār kā
shaiḳh kā ashk-e-riyā.ī kufr se ḳhālī nahīñ
rishta-e-tasbīh-e-sulaimānī meñ hai zunnār kā
shart-e-ulfat hai yahī 'taslīm' bā'd-e-hashr bhī
haath se dāman na chhūTe ahmad-e-muḳhtār kā
zor dikhlata hai kya-kya zoaf jism-e-zar ka
rang uDne ko tarasta hai meri ruKHsar ka
did ke qabil hai joban sabz-o-rukHsar ka
moajiza hai sabz hona aag par gulzar ka
raat-din yunhi paDegi 'ashiqon ki gar nigah
band ho jayga rauzan KHud-baKHud diwar ka
ba'is-e-zinat hua soz-e-jawani dahr mein
dagh-e-sauda ban gaya turra meri dastar ka
duKHt-e-raz ke ru-ba-ru kyun le chala saqi mujhe
KHun hoga gardan-e-mina par istighfar ka
dahr mein zalim hamesha rahte hain shadi-nasib
kam nahin hota kabhi KHanda-lab sufar ka
kya nasim-e-ah bulbul ne khilaya hai ise
dagh ki deta hai bu har gul mere gulzar ka
shaiKH ka ashk-e-riyai kufr se KHali nahin
rishta-e-tasbih-e-sulaimani mein hai zunnar ka
shart-e-ulfat hai yahi 'taslim' ba'd-e-hashr bhi
hath se daman na chhuTe ahmad-e-muKHtar ka
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 13)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.