muzda-e-wasl bahut din se roz suna karte hain
muzda-e-wasl bahut din se roz suna karte hain
Yahya Qadri Phulwarwi
MORE BYYahya Qadri Phulwarwi
muzda-e-vasl bahut din se roz sunā karte haiñ
sālahā guzre ki ham roz ginā karte haiñ
aamad aamad kī ḳhabar jab se sunā karte haiñ
kaun din hai ki nahīñ raah takā karte haiñ
nāma-bar sach kaho ve naama ko kyā karte haiñ
khol kar paḌhte haiñ yā pheñk diyā karte haiñ
ek is bazm meñ ham misl-e-charāġh-e-saharī
ātish-e-hijr se har raat jalā karte haiñ
yā-rab is 'ishq meñ badnām kahāñ tak hoñge
ek 'ālam haiñ ki añgusht-numā karte haiñ
daam meñ zulf ke 'yahyā' ko phañsāyā jab se
sau pachās aate haiñ har roz bujhā karte haiñ
muzda-e-wasl bahut din se roz suna karte hain
salaha guzre ki hum roz gina karte hain
aamad aamad ki KHabar jab se suna karte hain
kaun din hai ki nahin rah taka karte hain
nama-bar sach kaho we nama ko kya karte hain
khol kar paDhte hain ya phenk diya karte hain
ek is bazm mein hum misl-e-charagh-e-sahari
aatish-e-hijr se har raat jala karte hain
ya-rab is 'ishq mein badnam kahan tak honge
ek 'alam hain ki angusht-numa karte hain
dam mein zulf ke 'yahya' ko phansaya jab se
sau pachas aate hain har roz bujha karte hain
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.