na hai aaghaz se matlab na hai anjam se kaam
na hai aaghaz se matlab na hai anjam se kaam
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
na hai āġhāz se matlab na hai anjām se kaam
na ġharaz sub.h se mujh ko na mujhe shaam se kaam
shorish-e-dard hī kaafī hai mirī taskīn ko
na dil-āzār se matlab na dil-ārām se kaam
rishta-e-zindagī kis taur se maqtū' na ho
mujhe rahtā hai hamesha tirī samsām se kaam
kis se dil jaake giraftārī ko apnī kahiye
na qafas se koī vāqif na rakkhe daam se kaam
vasf auroñ kā bhalā kyuuñ ke miyāñ dil ko lage
jis ko rahtā ho sadā terī hī dushnām se kaam
'ishq' paizār se us kī jiye yā koī mare
yaar mā’shūq ko hai apne hī ab kaam se kaam
na hai aaghaz se matlab na hai anjam se kaam
na gharaz subh se mujh ko na mujhe sham se kaam
shorish-e-dard hi kafi hai meri taskin ko
na dil-azar se matlab na dil-aram se kaam
rishta-e-zindagi kis taur se maqtu' na ho
mujhe rahta hai hamesha teri samsam se kaam
kis se dil jake giraftari ko apni kahiye
na qafas se koi waqif na rakkhe dam se kaam
wasf auron ka bhala kyun ke miyan dil ko lage
jis ko rahta ho sada teri hi dushnam se kaam
'ishq' paizar se us ki jiye ya koi mare
yar ma’shuq ko hai apne hi ab kaam se kaam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.