Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dard-alam be-tabi-o-hasrat sar pe bala hai kya kya kuchh

Naiyar Danapuri

dard-alam be-tabi-o-hasrat sar pe bala hai kya kya kuchh

Naiyar Danapuri

dard-alam be-tābī-o-hasrat sar pe balā hai kyā kyā kuchh

marne par bhī ham nahīñ tanhā saath chalā hai kyā kyā kuchh

sail-e-rashk-o-tāir-e-sidra bād-e-sabā-o-hud-hud dil

hijr meñ ham ne qāsid sāmān kiyā hai kyā kyā kuchh

naqd-e-vahshat sikka-e-dāġh-o-gauhar ashk-o-kHilat dard

sarkār-e-junūñ se dil ko mere in.aam milā hai kyā kyā kuchh

mujh se mileñ khol ke vo mumkin nahīñ ye hashr talak

aġhyār ne un ke kaan meñ aakar phūñk diyā hai kyā kyā kuchh

ḳhaak uḌaa.ī kūcha-ba-kūcha ho ga.e rusvā duniyā meñ

dekhiye 'nayyar' ā.inda qismat likhā hai kyā kyā kuchh

dard-alam be-tabi-o-hasrat sar pe bala hai kya kya kuchh

marne par bhi hum nahin tanha sath chala hai kya kya kuchh

sail-e-rashk-o-tair-e-sidra baad-e-saba-o-hud-hud dil

hijr mein hum ne qasid ka saman kiya hai kya kya kuchh

naqd-e-wahshat sikka-e-dagh-o-gauhar ashk-o-kHilat dard

sarkar-e-junun se dil ko mere inam mila hai kya kya kuchh

mujh se milen ji khol ke wo mumkin hi nahin ye hashr talak

aghyar ne un ke kan mein aakar phunk diya hai kya kya kuchh

KHak uDai kucha-ba-kucha ho gae ruswa duniya mein

dekhiye 'nayyar' aainda qismat ka likha hai kya kya kuchh

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now