Font by Mehr Nastaliq Web

nazar wale sharik-e-jalwa-gah-e-tur hote hain

Nakhshab Jarchawi

nazar wale sharik-e-jalwa-gah-e-tur hote hain

Nakhshab Jarchawi

nazar vaale sharīk-e-jalva-gāh-e-tūr hote haiñ

ki har mahfil ke duniyā meñ alag dastūr hote haiñ

jahāñ jalve jalve hoñ vahāñ nazreñ nahīñ hotīñ

vo sab parde uThā dete haiñ jab mastūr hote haiñ

siyah-baḳhtī meñ ham-rañgī shāyad kuchh sukūñ baḳhshe

tire mehmān ham bhī ai shab-e-daijūr hote haiñ

mohabbat aur ba-qaid-e-rasm-e-tauhīn-e-mohabbat hai

vo dīvāne nahīñ jo vāqif-e-dastūr hote haiñ

samajhte haiñ fareb-e-jalva-e-rañgīñ magar 'naḳhshab'

ye vo manzil hai ahl-e-dil jahāñ majbūr hote haiñ

nazar wale sharik-e-jalwa-gah-e-tur hote hain

ki har mahfil ke duniya mein alag dastur hote hain

jahan jalwe hi jalwe hon wahan nazren nahin hotin

wo sab parde uTha dete hain jab mastur hote hain

siyah-baKHti mein ham-rangi hi shayad kuchh sukun baKHshe

tere mehman hum bhi ai shab-e-daijur hote hain

mohabbat aur ba-qaid-e-rasm-e-tauhin-e-mohabbat hai

wo diwane nahin jo waqif-e-dastur hote hain

samajhte hain fareb-e-jalwa-e-rangin magar 'naKHshab'

ye wo manzil hai ahl-e-dil jahan majbur hote hain

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now