apne man par hawi ho ja
apne man par haavī ho jā
andar se bhī suufī ho jā
jo rab se bāġhī kartī hai
us duniyā se bāġhī ho jā
mar ke bhī gar zinda rahnā hai
us kī raah kī miTTī ho jā
josh pe hai fitnoñ kā tūfāñ
hazrat-e-nūh kī kashtī ho jā
hogī terī Thokar meñ duniyā
duniyā se mustaġhnī ho jā
log paḌheñge sadiyoñ tujh ko
sā'dī ban shīrāzī ho jā
chāhiye us ke pyaar kī daulat
jaisī hai us kī marzī ho jā
saare vād-vivād se uTh kar
bas mānav-tāvādī ho jā
jis se zaḳhmī ho ḳhuddārī
us pad se mustā'fī ho jā
dil meñ 'nasīr' āvāz aatī hai
sāhab-e-ishq-e-haqīqī ho jā
apne man par hawi ho ja
andar se bhi sufi ho ja
jo rab se baghi karti hai
us duniya se baghi ho ja
mar ke bhi gar zinda rahna hai
us ki rah ki miTTi ho ja
josh pe hai fitnon ka tufan
hazrat-e-nuh ki kashti ho ja
hogi teri Thokar mein duniya
duniya se mustaghni ho ja
log paDhenge sadiyon tujh ko
sa'di ban shiraazi ho ja
chahiye us ke pyar ki daulat
jaisi hai us ki marzi ho ja
sare wad-wiwad se uTh kar
bas manaw-tawadi ho ja
jis se zaKHmi ho KHuddari
us pad se musta'fi ho ja
dil mein 'nasir' aawaz aati hai
sahab-e-ishq-e-haqiqi ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.