kHema-e-ahl-e-junun hain sar-e-sahil ab bhi
kHema-e-ahl-e-junūñ haiñ sar-e-sāhil ab bhī
haath yā sar kī sadā detā hai bātil ab bhī
us ko duniyā se ga.e ho ga.e barsoñ lekin
zinda logoñ kī jamā.at meñ hai shāmil ab bhī
chāñd kī kirnoñ ko shabnam ke tabassum ko paḌho
roz irfānī kutub hotī haiñ nāzil ab bhī
sāmne masnad-e-shāhī ke kabhī ḳham na huā
fazl-e-rabbī se mirā dil hai mirā dil ab bhī
pā ba-zanjīr huuñ hāthoñ meñ haiñ hathkaḌiyāñ magar
thartharātā hai mere sāmne qātil ab bhī
be-zamīrī kā kafan sab ne nahīñ pahnā hai
chand insāñ haiñ darindoñ ke muqābil ab bhī
kab kā manzil pe pahuñch bhī chuke sab ham-safarāñ
aur tahayyur meñ hai gum rahbar-e-manzil ab bhī
jin kī sohbat hai diloñ ke liye iksīr 'nasīr'
DhūñD to aise haiñ kuchh murshid-e-kāmil ab bhī
kHema-e-ahl-e-junun hain sar-e-sahil ab bhi
hath ya sar ki sada deta hai baatil ab bhi
us ko duniya se gae ho gae barson lekin
zinda logon ki jamaat mein hai shamil ab bhi
chand ki kirnon ko shabnam ke tabassum ko paDho
roz irfani kutub hoti hain nazil ab bhi
samne masnad-e-shahi ke kabhi KHam na hua
fazl-e-rabbi se mera dil hai mera dil ab bhi
pa ba-zanjir hun hathon mein hain hathkaDiyan magar
thartharaata hai mere samne qatil ab bhi
be-zamiri ka kafan sab ne nahin pahna hai
chand insan hain darindon ke muqabil ab bhi
kab ka manzil pe pahunch bhi chuke sab ham-safaran
aur tahayyur mein hai gum rahbar-e-manzil ab bhi
jin ki sohbat hai dilon ke liye iksir 'nasir'
DhunD to aise hain kuchh murshid-e-kaamil ab bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.