tera ghar hai to aasman hai dil
terā ghar hai to āsmān hai dil
varna vīrān sā makān hai dil
ishq mehmāñ nahīñ hai mālik hai
ye na kahnā ke mezbān hai dil
ik taraf yaas ik taraf ummīd
aur donoñ ke darmiyān hai dil
sachchī āñkhoñ se baat karatā hai
kaun kahtā hai be-zabān hai dil
dekhiye to bas ek pāra-e-gosht
sochiye to bharā jahān hai dil
us meñ ik aks muskurātā hai
ujle ā.īne ke samān hai dil
roz lagtī hai e'timād ko Thes
phir bhī had darja ḳhush-gumān hai dil
saare a.azā haiñ us ke zer-e-asar
saare a.azā pe hukmarān hai dil
tera ghar hai to aasman hai dil
warna viran sa makan hai dil
ishq mehman nahin hai malik hai
ye na kahna ke mezban hai dil
ek taraf yas ek taraf ummid
aur donon ke darmiyan hai dil
sachchi aankhon se baat karata hai
kaun kahta hai be-zaban hai dil
dekhiye to bas ek para-e-gosht
sochiye to bhara jahan hai dil
us mein ek aks muskuraata hai
ujle aaine ke saman hai dil
roz lagti hai e'timad ko Thes
phir bhi had darja KHush-guman hai dil
sare aaza hain us ke zer-e-asar
sare aaza pe hukmaran hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.