chand KHushbu bhari yaadon ko sambhaale hue hai
chand ḳhushbū bharī yādoñ ko sambhāle hue hai
dil magan rahne kī tadbīr nikāle hue hai
dekhnā kal vahī sho.ala kī tarah bhaḌkegā
jo shagūfa vo sar-e-bazm uchhāle hue hai
vo jo ik ism hai mahtāb kī sūrat mirī jaañ
haañ vahī ism mirī ziist ujāle hue hai
ek dīvāna hai iz.hār-e-haqīqat pe musir
ek qātil hai jo shamshīr nikāle hue hai
ishq vo zarra hai tāroñ pe jo Daale hai kamand
ye vo qatra hai jo tūfān uchhāle hue hai
dil ke har sher ko ik shā.ir ḳhush-bāsh 'nasīr'
kis hunar-mandī se ash.ār meñ Dhāle hue hai
chand KHushbu bhari yaadon ko sambhaale hue hai
dil magan rahne ki tadbir nikale hue hai
dekhna kal wahi shoala ki tarah bhaDkega
jo shagufa wo sar-e-bazm uchhaale hue hai
wo jo ek ism hai mahtab ki surat meri jaan
han wahi ism meri zist ujale hue hai
ek diwana hai izhaar-e-haqiqat pe musir
ek qatil hai jo shamshir nikale hue hai
ishq wo zarra hai taron pe jo Dale hai kamand
ye wo qatra hai jo tufan uchhaale hue hai
dil ke har sher ko ek shair KHush-bash 'nasir'
kis hunar-mandi se ashaar mein Dhaale hue hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.