kya jaano tum ki kya hai ye rahat-maab dard
kyā jaano tum ki kyā hai ye rāhat-ma.āb dard
bhartā hai zindagī meñ na.ī āb-o-tāb dard
Thokar lagā rahā hai nashāt-e-hayāt ko
taslīm-gāh-e-ishq se hai faizyāb dard
chup-chāp suntī rahtī hai tāroñ kī anjuman
jab chheḌtā hai raat ko tār-e-rubāb dard
ye kaisā ittifāq hai aate haiñ roz saath
aḳhbār hādsoñ kī ḳhabar āftāb dard
ab bhī hai vaqt sāhib-e-'ālam se jā kaho
mohlat na hogī lā.egā jab inqilāb dard
beTe kī roTiyāñ nahīñ gintī hai maañ 'nasīr'
be-ḳhvābiyoñ kā rakhtā nahīñ hai hisāb dard
kya jaano tum ki kya hai ye rahat-maab dard
bharta hai zindagi mein nai aab-o-tab dard
Thokar laga raha hai nashat-e-hayat ko
taslim-gah-e-ishq se hai faizyab dard
chup-chap sunti rahti hai taron ki anjuman
jab chheDta hai raat ko tar-e-rubab dard
ye kaisa ittifaq hai aate hain roz sath
aKHbar hadson ki KHabar aaftab dard
ab bhi hai waqt sahib-e-'alam se ja kaho
mohlat na hogi laega jab inqilab dard
beTe ki roTiyan nahin ginti hai man 'nasir'
be-KHwabiyon ka rakhta nahin hai hisab dard
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.