guman ki qaid mein tha ab yaqin ki qaid mein hun
gumāñ kī qaid meñ thā ab yaqīñ kī qaid meñ huuñ
maiñ haañ se chhūT gayā to nahīñ kī qaid meñ huuñ
baḌe adab se biThāyā thā taḳht-e-dil pe jise
ġhazab hai ab usī masnad-nashīñ kī qaid meñ huuñ
jise zabān-e-haqīqat meñ ishq kahte haiñ
usī tilism-e-junūñ āfrīñ kī qaid meñ huuñ
falak pe chāñd sitāre bulā rahe haiñ mujhe
magar maiñ tal.at-e-ḳhāk-e-zamīñ kī qaid meñ huuñ
maiñ huuñ ḳhud apne hī husn-e-vajūd kā qaidī
kisī hasīñ na kisī mah-jabīñ kī qaid meñ huuñ
'nasīr' maiñ ne atā kī thī rustagārī jinheñ
ye inqilāb to dekho unhīñ kī qaid meñ huuñ
guman ki qaid mein tha ab yaqin ki qaid mein hun
main han se chhuT gaya to nahin ki qaid mein hun
baDe adab se biThaya tha taKHt-e-dil pe jise
ghazab hai ab usi masnad-nashin ki qaid mein hun
jise zaban-e-haqiqat mein ishq kahte hain
usi tilism-e-junun aafrin ki qaid mein hun
falak pe chand sitare bula rahe hain mujhe
magar main talat-e-KHak-e-zamin ki qaid mein hun
main hun KHud apne hi husn-e-wajud ka qaidi
kisi hasin na kisi mah-jabin ki qaid mein hun
'nasir' main ne ata ki thi rustagari jinhen
ye inqilab to dekho unhin ki qaid mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.