amir-e-dauran ki bandagi ka mutalba hai
amīr-e-daurāñ kī bandagī kā mutālba hai
sanam-shikan se sanam-garī kā mutālba hai
maiñ khokhle qahqahoñ se be-zār ho chukā huuñ
jo dil se phūTī havās ḳhushī kā mutālba hai
thakā diyā hai hameñ hama-gīr ḳhvāhishoñ ne
kabhī kisī kā kabhī kisī kā mutālba hai
jo dukh to ḳhud le le sukh ko dukhiyoñ meñ baañT Daale
usī ḳhudā mast zindagī kā mutālba hai
tamām duniyā meñ ho mohabbat faqat mohabbat
yahī bas ikkīsvīñ sadī kā mutālba hai
'nasīr' rukHsār-o-zulf-o-lab ke fusūñ se niklo
miyāñ ab āfaqī-e-shā.irī kā mutālba hai
amir-e-dauran ki bandagi ka mutalba hai
sanam-shikan se sanam-gari ka mutalba hai
main khokhle qahqahon se be-zar ho chuka hun
jo dil se phuTi hawas KHushi ka mutalba hai
thaka diya hai hamein hama-gir KHwahishon ne
kabhi kisi ka kabhi kisi ka mutalba hai
jo dukh to KHud le le sukh ko dukhiyon mein banT Dale
usi KHuda mast zindagi ka mutalba hai
tamam duniya mein ho mohabbat faqat mohabbat
yahi bas ikkiswin sadi ka mutalba hai
'nasir' rukHsar-o-zulf-o-lab ke fusun se niklo
miyan ab aafaqi-e-shairi ka mutalba hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.