phir ek bhuka shaKHs jaan-ba-lab hua ghazab hua
phir ek bhūkā shaḳhs jāñ-ba-lab huā ġhazab huā
ki shahar par nuzūl-e-qahr rab huā ġhazab huā
tamām hosh-mand hoñT sī ke jaañ bachā ga.e
divāna lab hilā ke be-adab huā ġhazab huā
sabab thā jo uruuj kā usī se rabt ḳhatm huā
tire zavāl kā yahī sabab huā ġhazab huā
ye roz-o-shab kī gardisheñ gavāh thiiñ gavāh haiñ
sadāqatoñ se inhirāf jab huā ġhazab huā
balā kī bijliyāñ girīñ balā kī āñdhi.yāñ chalīñ
ḳhudā se jab daġhā kyā ġhazab huā ġhazab huā
thī jis kī tal.at bayāz-e-subh-e-āfrīñ
'nasīr' vo asīr-e-zulf-e-shab huā ġhazab huā
phir ek bhuka shaKHs jaan-ba-lab hua ghazab hua
ki shahar par nuzul-e-qahr rab hua ghazab hua
tamam hosh-mand honT si ke jaan bacha gae
diwana lab hila ke be-adab hua ghazab hua
sabab tha jo uruj ka usi se rabt KHatm hua
tere zawal ka yahi sabab hua ghazab hua
ye roz-o-shab ki gardishen gawah thin gawah hain
sadaqaton se inhiraf jab hua ghazab hua
bala ki bijliyan girin bala ki aandhiyan chalin
KHuda se jab dagha kya ghazab hua ghazab hua
thi jis ki talat bayaz-e-subh-e-afrin
'nasir' wo asir-e-zulf-e-shab hua ghazab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.