sansen ukhaD rahi hain mere etibar ki
sāñseñ ukhaḌ rahī haiñ mere e'tibār kī
ab ḳhatm dāstāñ ho shab-e-intizār kī
chheḌā jahāñ pe zikr qiyāmat ne yaar kā
gardish Thahar ga.ī vahīñ lail-o-nahār kī
ik ā.īna badan ke qadam chūmne lagā
āñkhoñ ko bhā ga.ī ye adā ābshār kī
kyuuñ ḳhār-o-ḳhas ko masnad-e-tauqīr kī atā
ai vaqt tuune kaisī ravish iḳhtiyār kī
dast-e-duā buland kiye hai havā-e-shab
lau thartharā rahī hai charāġh-e-mazār kī
parcham mere charāġh kī lo kar le to buland
tārīkiyoñ se karnī hai jañg ār-pār kī
bām-e-ufuq pe raushniyoñ ne kiyā tulūa
ye āḳhirī ghaḌī hai shab-e-intishār kī
tīr-o-tabar se kaam jo mumkin na ho sakā
vo kaam kar ga.ī tirī chuTkī ġhubār kī
sāñseñ sulagte jalte hue dasht kī thamīñ
raftār dekh kar mere naaqa savār kī
kāġhaz ne mere sāmne aakar kiyā qiyām
chheḌī jo baat kHāma-e-manzar-nigār kī
ai 'nūr' us ko dekh ke mahsūs ye huā
tasvīr maiñ ne dekhī hai mauj-e-bahār kī
sansen ukhaD rahi hain mere e'tibar ki
ab KHatm dastan ho shab-e-intizar ki
chheDa jahan pe zikr qiyamat ne yar ka
gardish Thahar gai wahin lail-o-nahaar ki
ek aaina badan ke qadam chumne laga
aankhon ko bha gai ye ada aabshaar ki
kyun KHar-o-KHas ko masnad-e-tauqir ki ata
ai waqt tune kaisi rawish iKHtiyar ki
dast-e-dua buland kiye hai hawa-e-shab
lau tharthara rahi hai charagh-e-mazar ki
parcham mere charagh ki lo kar le to buland
tarikiyon se karni hai jang aar-par ki
baam-e-ufuq pe raushniyon ne kiya tulua
ye aaKHiri ghaDi hai shab-e-intishaar ki
tir-o-tabar se kaam jo mumkin na ho saka
wo kaam kar gai teri chuTki ghubar ki
sansen sulagte jalte hue dasht ki thamin
raftar dekh kar mere naqa sawar ki
kaghaz ne mere samne aakar kiya qiyam
chheDi jo baat kHama-e-manzar-nigar ki
ai 'nur' us ko dekh ke mahsus ye hua
taswir main ne dekhi hai mauj-e-bahaar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.