nurun-min-nurillah se ahad ahmad ka rup dikhawat hai
nurun-min-nurillah se ahad ahmad ka rup dikhawat hai
Akbar Warsi Meerthi
MORE BYAkbar Warsi Meerthi
nūrun-min-nūrillāh se ahad ahmad kā ruup dikhāvat hai
kahūñ miim kī chādar oḌhat hai kahūñ aap meñ aap samāvat hai
aisī bhī kyā hai betābī kyuuñ arsh pe āvat-jāvat hai
ham jānib haiñ tore man kī tū ummat ko baḳhshāvat hai
vallail kā laTkā zulfan meñ vashshams kā miqna.a chitvan meñ
mā-zāġh kā surma nainan meñ kyā ruup anuup dikhāvat hai
tujh sā nahīñ koī jahāñ meñ dhanī torī kirpā se morī baat banī
yā-sayyadanā makkī-madanī tū rasūl-e-karīm kahāvat hai
bat.hā jañgal taiba ban meñ DhūñDhat huuñ mulkan mulkan maiñ
aa jā aa jā more nainan meñ kyuuñ des-bides phirāvat hai
kāñdhe par Daale burd-e-yaman hoñTan par kalme kī sumiran
dikhlā ke anā-basharun kī phaban tauhīd kā rañg jamāvat hai
mujh sā koī jag meñ kūrāh nahīñ more pāpan kī kuchh thaah nahīñ
yā-rabbiġhfirlī varhamanī ki tū rabb-e-ġhafūr kahāvat hai
sab mātā-pitā kul naarī us sayyadanā ke balihārī
yā-rabb-e-hablī ummat kī jo har ko kuuk sunāvat hai
ek māh-e-mudun gorā sā badan nīchī nazreñ kal kī ḳhabreñ
kamlī oḌhe zulfeñ chhoḌe dil chhīnat hai man bhāvat hai
avagun kī ghaTā.eñ haiñ chhā.īñ kirpā ho 'akbar' kī mā.īñ
ai kal-jug satjug ke sā.īñ tū kal kī laaj rakhāvat hai
nurun-min-nurillah se ahad ahmad ka rup dikhawat hai
kahun mim ki chadar oDhat hai kahun aap mein aap samawat hai
aisi bhi kya hai betabi kyun arsh pe aawat-jawat hai
hum jaanib hain tore man ki tu ummat ko baKHshawat hai
wallail ka laTka zulfan mein washshams ka miqna chitwan mein
ma-zagh ka surma nainan mein kya rup anup dikhawat hai
tujh sa nahin koi jahan mein dhani tori kirpa se mori baat bani
ya-sayyadana makki-madani tu rasul-e-karim kahawat hai
batha jangal taiba ban mein DhunDhat hun mulkan mulkan main
aa ja aa ja more nainan mein kyun des-bides phirawat hai
kandhe par Dale burd-e-yaman honTan par kalme ki sumiran
dikhla ke ana-basharun ki phaban tauhid ka rang jamawat hai
mujh sa koi jag mein kurah nahin more papan ki kuchh thah nahin
ya-rabbighfirli warhamani ki tu rabb-e-ghafur kahawat hai
sab mata-pita kul nari us sayyadana ke balihaari
ya-rabb-e-habli ummat ki jo har ko kuk sunawat hai
ek mah-e-mudun gora sa badan nichi nazren kal ki KHabren
kamli oDhe zulfen chhoDe dil chhinat hai man bhawat hai
awagun ki ghaTaen hain chhain kirpa ho 'akbar' ki main
ai kal-jug satjug ke sain tu kal ki laj rakhawat hai
- Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 94)
- Author : Mohammad Akbar Warsi
- Publication : Matba Majidi, Meerut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.