haman asrar-e-wahdat ka nafi isbaat mein dekha
haman asrār-e-vahdat kā nafī isbāt meñ dekhā
sarāsar nūr-e-be-rañgī zuhūran zaat meñ dekhā
nafī jab tak na ho hargiz na paave zauq-e-asbātī
usī shatranj kā ham jītnā ab maat meñ dekhā
koī jo ho rahā āshaq alakh bechūñ munazzah par
arūp-o-rūp kā us ne liqā lamhāt meñ dekhā
na hove bul-havas rāġhib pyāle kā ba-pindārī
ki jām-o-teġh ham vallāh sajan ke haath meñ dekhā
kisī mansūr se pūchhā sabab ifshā-e-ma.anī kā
kahā maiñ matlab-e-vālā abhī is baat meñ dekhā
ye 'bedil' sun fī-anfosekum us ma.ashūq-e-hamdam se
ki ham-misbāh-e-ahadiyat usī mishkāt meñ dekhā
haman asrar-e-wahdat ka nafi isbaat mein dekha
sarasar nur-e-be-rangi zuhuran zat mein dekha
nafi jab tak na ho hargiz na pawe zauq-e-asbaati
usi shatranj ka hum jitna ab mat mein dekha
koi jo ho raha aashaq alakh bechun munazzah par
arup-o-rup ka us ne liqa lamhat mein dekha
na howe bul-hawas raghib pyale ka ba-pindari
ki jam-o-tegh hum wallah sajan ke hath mein dekha
kisi mansur se puchha sabab ifsha-e-mani ka
kaha main matlab-e-wala abhi is baat mein dekha
ye 'bedil' sun fi-anfosekum us mashuq-e-hamdam se
ki ham-misbah-e-ahadiyat usi mishkat mein dekha
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 108)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
- Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.