aap hi ka zikr to din-raat hai
aap hī kā zikr to din-rāt hai
bhuul jaa.eñ ham bhalā ye baat hai
mohtasib kā ḳhauf to har dam rahā
aaj phir sāġhar chale barsāt hai
tum fidā ġhairoñ pe ham tum par nisār
lo tumhīñ munsif ho kaisī baat hai
dil ke khīñchne kī maiñ kis se duuñ misāl
kahrubā kī bhī kashish to maat hai
le liyā bosa to bole ja.iye
merā sadqa hai mirī ḳhairāt hai
duḳht-e-raz ho ghar meñ ḳhvāhish hai yahī
meñh barastā hai añdherī raat hai
din hai ākHir paañv meñ chhāle haiñ 'qais'
duur manzil hai añdherī raat hai
aap hi ka zikr to din-raat hai
bhul jaen hum bhala ye baat hai
mohtasib ka KHauf to har dam raha
aaj phir saghar chale barsat hai
tum fida ghairon pe hum tum par nisar
lo tumhin munsif ho kaisi baat hai
dil ke khinchne ki main kis se dun misal
kahruba ki bhi kashish to mat hai
le liya bosa to bole jaiye
mera sadqa hai meri KHairaat hai
duKHt-e-raz ho ghar mein KHwahish hai yahi
meinh barasta hai andheri raat hai
din hai aakHir panw mein chhaale hain 'qais'
dur manzil hai andheri raat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.