miTaya uf qamar se naujawan ko
miTāyā uf qamar se naujavāñ ko
na aayā rahm marg-e-nā-gihāñ ko
machaltā hai to machle dil ye kambaḳht
kahāñ se lā.ūñ yād-e-dilsitāñ ko
banāyā siina ko yādoñ se gulshan
ḳhudā rakhe hamāre bāġhbāñ ko
kiyā vā'da magar phir bhī na aayā
ḳhudā samjhe but-e-nā-mehrabāñ ko
huī ġhā.eb kahāñ dil se nikal kar
asar bhī DhūñDhtā hai ḳhud fuġhāñ ko
ajal se maut bolī ye dam-e-naza’
ki kis par chhoḌ jā۔ūñ us makāñ ko
tumhārā chāhne vaalā hai shāyad
'adāvat kyuuñ hai mujh se āsmāñ ko
havās aise ga.e sub.h shab-e-vasl
ki ham but ban ga.e sun kar azaañ ko
kahīñ us kā Thikāna hī nahīñ hai
liye jaao dil-e-be-ḳhānamāñ ko
biThā kar us galī meñ zo'f bolā
na uThne dūñgā ab is nā-tavāñ ko
'qamar' bhopal meñ aa.e haiñ 'afsos'
sunāo she'r aise qadar-dāñ ko
miTaya uf qamar se naujawan ko
na aaya rahm marg-e-na-gihan ko
machalta hai to machle dil ye kambaKHt
kahan se laun yaad-e-dilsitan ko
banaya sina ko yaadon se gulshan
KHuda rakhe hamare baghban ko
kiya wa'da magar phir bhi na aaya
KHuda samjhe but-e-na-mehraban ko
hui ghaeb kahan dil se nikal kar
asar bhi DhunDhta hai KHud fughan ko
ajal se maut boli ye dam-e-naza’
ki kis par chhoD ja۔un us makan ko
tumhaara chahne wala hai shayad
'adawat kyun hai mujh se aasman ko
hawas aise gae subh shab-e-wasl
ki hum but ban gae sun kar azan ko
kahin us ka Thikana hi nahin hai
liye jao dil-e-be-KHanaman ko
biTha kar us gali mein zo'f bola
na uThne dunga ab is na-tawan ko
'qamar' bhopal mein aae hain 'afsos'
sunao she'r aise qadar-dan ko
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 248)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.