yaad teri hai mere ji ke sath
yaad tirī hai mere jī ke saath
kuchh to ulfat hai zindagī ke saath
kahte haiñ kaisī be-ruḳhī ke saath
kyuuñ banā hai koī kisī ke saath
kuchh kahā to karo Thikāne kī
baat jo hai vo dil-lagī ke saath
rah gayā kah ke maiñ are koī
le uḌā dil hañsī-hañsī ke saath
tinke chunte haiñ nāznīñ hokar
bāñkpan bhī hai nāzukī ke saath
vā'izo huur tum hī le lenā
ham raheñge kisī parī ke saath
ham nahīñ jab to kuchh nahīñ hai 'qamar'
saare jhagḌe haiñ zindagī ke saath
yaad teri hai mere ji ke sath
kuchh to ulfat hai zindagi ke sath
kahte hain kaisi be-ruKHi ke sath
kyun bana hai koi kisi ke sath
kuchh kaha to karo Thikane ki
baat jo hai wo dil-lagi ke sath
rah gaya kah ke main are koi
le uDa dil hansi-hansi ke sath
tinke chunte hain naznin hokar
bankpan bhi hai nazuki ke sath
wa'izo hur tum hi le lena
hum rahenge kisi pari ke sath
hum nahin jab to kuchh nahin hai 'qamar'
sare jhagDe hain zindagi ke sath
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 249)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.