aa gaya us mah ka jalwa jab nazar ke samne
aa gayā us mah kā jalva jab nazar ke sāmne
sab ye kah aTThe 'qamar' aayā qamar ke sāmne
shauq se shamshīr abrū ke lagāo vaar tum
zaḳhm khānā baat kitnī hai jigar ke sāmne
kuchh na kuchh to rañg lā.egī sitam-gar ḳhauf kar
ab to aa.ī hai du'ā merī asar ke sāmne
ab to tū bhī dafn kī de de ijāzat ai parī
ḳhud machal kar ruk ga.ī hai laash dar ke sāmne
tiir sīdhā paḌ ke jaatā hai ye barmātā huā
kis tarah aa.e koī tirchhī nazar ke sāmne
maiñ ne dar-parda jo kī tā'rīf-e-yusuf ek din
ā.gaye kaise vo parda se nikal kar sāmne
rū-ba-rū us ke hai abrū us kī duzdīda-nazar
tiir dil ke sāmne hai teġh sar ke sāmne
aabrū motī kī kyā hai āñsuoñ ke rū-ba-rū
kyā haqīqat laa'l kī laḳht-e-jigar ke sāmne
aa gaya us mah ka jalwa jab nazar ke samne
sab ye kah aTThe 'qamar' aaya qamar ke samne
shauq se shamshir abru ke lagao war tum
zaKHm khana baat kitni hai jigar ke samne
kuchh na kuchh to rang laegi sitam-gar KHauf kar
ab to aai hai du'a meri asar ke samne
ab to tu bhi dafn ki de de ijazat ai pari
KHud machal kar ruk gai hai lash dar ke samne
tir sidha paD ke jata hai ye barmata hua
kis tarah aae koi tirchhi nazar ke samne
main ne dar-parda jo ki ta'rif-e-yusuf ek din
aagaye kaise wo parda se nikal kar samne
ru-ba-ru us ke hai abru us ki duzdida-nazar
tir dil ke samne hai tegh sar ke samne
aabru moti ki kya hai aansuon ke ru-ba-ru
kya haqiqat la'l ki laKHt-e-jigar ke samne
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 249)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.