bahut KHush hai mujhe wo yaad karke
bahut ḳhush hai mujhe vo yaad karke
bharī duniyā merī barbād karke
jalā kar par mere sayyād mujh ko
sazā dete haiñ kyuuñ āzād karke
jalāne kī zarūrat kyuuñ paḌī thī
nasheman ko mere ābād karke
sanam apnā jo Thahrā sañg-e-mūrat
to phir kyā hogā yuuñ fariyād karke
maiñ us kā bas meñ is kā ho gayā huuñ
chalā aayā huuñ ḳhud ko shaad karke
abhī bhī par hamāre haiñ salāmat
ġhamoñ se dekh lo āzād karke
baserā jugnuon meñ kar rahe ho
kabhī sūraj se milnā yaad karke
kabhī mushkil meñ mujh ko yaad karnā
chalā ā.ūñgā ḳhud ko baad karke
samāñ hai bevafā.ī kā ai 'rahbar'
karoge kyā mujhe tum yaad karke
bahut KHush hai mujhe wo yaad karke
bhari duniya meri barbaad karke
jala kar par mere sayyaad mujh ko
saza dete hain kyun aazad karke
jalane ki zarurat kyun paDi thi
nasheman ko mere aabaad karke
sanam apna jo Thahra sang-e-murat
to phir kya hoga yun fariyaad karke
main us ka bas mein is ka ho gaya hun
chala aaya hun KHud ko shad karke
abhi bhi par hamare hain salamat
ghamon se dekh lo aazad karke
basera jugnuon mein kar rahe ho
kabhi suraj se milna yaad karke
kabhi mushkil mein mujh ko yaad karna
chala aaunga KHud ko baad karke
saman hai bewafai ka ai 'rahbar'
karoge kya mujhe tum yaad karke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.