jo nikli dil se pahunchi la-makan tak
jo niklī dil se pahūñchī lā-makāñ tak
ga.ī āh-e-rasā dekho kahāñ tak
sitam-kash haiñ balā ke o sitam-gar
sitam Dhā.egā tū un par kahāñ tak
vo armāñ the ki ham dil se na nikle
vo matlab the na aa.e jo zabāñ tak
tirī ulfat meñ ākHir jaañ tak dī
uThāte sadma-e-hijrāñ kahāñ tak
na ham hoñge na hogā hijr kā ġham
ye sab jhagḌe haiñ jān-e-nā-tavāñ tak
makīñ kaisā makāñ tak ko na paayā
tasavvur ban ke DhūñDhā lā-makāñ tak
karūñ ai ramz 'arz-e-mudda'ā kyā
'ayāñ hai yaar par rāz-e-nihāñ tak
jo nikli dil se pahunchi la-makan tak
gai aah-e-rasa dekho kahan tak
sitam-kash hain bala ke o sitam-gar
sitam Dhaega tu un par kahan tak
wo arman the ki hum dil se na nikle
wo matlab the na aae jo zaban tak
teri ulfat mein aakHir jaan tak di
uThate sadma-e-hijran kahan tak
na hum honge na hoga hijr ka gham
ye sab jhagDe hain jaan-e-na-tawan tak
makin kaisa makan tak ko na paya
tasawwur ban ke DhunDha la-makan tak
karun ai ramz 'arz-e-mudda'a kya
'ayan hai yar par raaz-e-nihan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.