aaj kyun nala mera aatish-fishan hota nahin
aaj kyuuñ naala mirā ātish-fishāñ hotā nahīñ
shikva-sanj-e-dost fariyād-e-zabāñ hotā nahīñ
nāma-bar se mudda.ā shāyad bayāñ hotā nahīñ
jo javāb-e-yār mujh tak armuġhāñ hotā nahīñ
kyā huā nā-mehrbāñ hai mehrbāñ ho jā.egā
mujh ko be-mehrī kā us par bad-gumāñ hotā nahīñ
ta.ana-zan nāseh na ho tū mujh ko uryāñ dekh kar
āshiq-e-shorīda rusvā-e-jahāñ hotā nahīñ
bad-gumānī hai mirī vo ġhair par hai mehrbāñ
aisā kāfir dil kisī par mehrbāñ hotā nahīñ
tafraqa ulfat meñ ho phir kyā khule qadr-e-vafā
be mile donoñ diloñ ke imtihāñ hotā nahīñ
yaad thī jitnī ḳhushāmad ham ne vo bhī sarf kī
phir bhī raazī ham se us kā pāsbāñ hotā nahīñ
vaz.a be-mehrī kī chhoḌo aib lagtā hai tumheñ
mehrbāñ ho kar koī nā-mehrbāñ hotā nahīñ
vahm hai yā saham hai qātil ko yā merā ḳhayāl
haath kāñpe jaate haiñ ḳhanjar ravāñ hotā nahīñ
zā.iqa 'rāqim' nahīñ aatā firāq-e-yār kā
kuchh rag-o-pai meñ lahū jab tak ravāñ hotā nahīñ
aaj kyun nala mera aatish-fishan hota nahin
shikwa-sanj-e-dost fariyaad-e-zaban hota nahin
nama-bar se muddaa shayad bayan hota nahin
jo jawab-e-yar mujh tak armughan hota nahin
kya hua na-mehrban hai mehrban ho jaega
mujh ko be-mehri ka us par bad-guman hota nahin
tana-zan naseh na ho tu mujh ko uryan dekh kar
aashiq-e-shorida ruswa-e-jahan hota nahin
bad-gumani hai meri wo ghair par hai mehrban
aisa kafir dil kisi par mehrban hota nahin
tafraqa ulfat mein ho phir kya khule qadr-e-wafa
be mile donon dilon ke imtihan hota nahin
yaad thi jitni KHushamad hum ne wo bhi sarf ki
phir bhi raazi hum se us ka pasban hota nahin
waza be-mehri ki chhoDo aib lagta hai tumhein
mehrban ho kar koi na-mehrban hota nahin
wahm hai ya saham hai qatil ko ya mera KHayal
hath kanpe jate hain KHanjar rawan hota nahin
zaiqa 'raqim' nahin aata firaq-e-yar ka
kuchh rag-o-pai mein lahu jab tak rawan hota nahin
- Book : Kulliyat-e-Raqim (Pg. 104)
- Author : Raqim Dehlavi
- Publication : Afzal-ul-Matabe, Dehli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.