mere arman nikalne de abhi sone de jaanan ko
mire armāñ nikalne de abhī sone de jānāñ ko
sabā dāman se roke rah nigāh-e-sub.h-e-hijrāñ ko
kiyā TukḌe hai āḳhir dast-e-vahshat ne garebāñ ko
chhupā rakhā thā is parda meñ ham ne rāz-e-pinhāñ ko
kuchh aise ho ga.e avval hī be-ḳhud ishq meñ ham to
nahīñ jaanā garebāñ ko na samjhā ham ne dāmāñ ko
na us meñ husn yūsuf sā na ra.anā.ī zuleḳhā sī
fusūñ kuchh yaad hai aisā ki le letā hai īmāñ ko
yahāñ iġhmāz tum kar lo vahāñ dekheñge mahshar meñ
chhuḌānā ġhair se dāman ko aur mujh se garebāñ ko
yahīñ se hashr ulTegā yahīñ hogī qayāmat bhī
samajh rakhā hai kyuuñ chhoḌeñ zamīn-e-kū-e-jānāñ ko
mujhe tum dekhte ho aur us hasrat se maiñ tum ko
ki bulbul rū-e-gul ko aur gul bulbul ke armāñ ko
jahāñ meñ ḳhāna-zād-e-zulf ko kyā chhoḌ dete haiñ
ki tum ne chhoḌ rakhā mujh asīr-e-zulf-pechāñ ko
mere siina par tum baiTho galā talvār se kaaTo
ḳhat-e-taqdīr maiñ samjhūñ ḳhat-e-shamshīr-e-burrāñ ko
asīrī ham ko achchhī thī ki aalam thā tamāshā.ī
bahut ham yaad karte haiñ takalluf-hā-e-zindāñ ko
na chhoḌo dosh par gesū bharam khultā hai gesū kā
paḌegā tum ko kam karnā mirī shahbā-e-hijrāñ ko
mohabbat us ko kahte haiñ ki thī sahrā-o-majnūñ meñ
na sahrā ne use chhoḌā na majnūñ ne bayābāñ ko
visāl-e-yār jab hogā milā degī kabhī qismat
tabī.at meñ tabī.at ko dil-o-jāñ meñ dil-o-jāñ ko
miTāyā us ne kis kis ko burā ho is mohabbat kā
zuleḳhā kī zuleḳhā.ī ko lailā kī shabistāñ ko
zabāñ se kyuuñ kareñ apnī satā.ish aap ham 'rāqim'
suḳhan-dāñ jāñch leñge ḳhud nigāhoñ meñ suḳhan-dāñ ko
mere arman nikalne de abhi sone de jaanan ko
saba daman se roke rah nigah-e-subh-e-hijran ko
kiya TukDe hai aaKHir dast-e-wahshat ne gareban ko
chhupa rakha tha is parda mein hum ne raaz-e-pinhan ko
kuchh aise ho gae awwal hi be-KHud ishq mein hum to
nahin jaana gareban ko na samjha hum ne daman ko
na us mein husn yusuf sa na ranai zuleKHa si
fusun kuchh yaad hai aisa ki le leta hai iman ko
yahan ighmaz tum kar lo wahan dekhenge mahshar mein
chhuDana ghair se daman ko aur mujh se gareban ko
yahin se hashr ulTega yahin hogi qayamat bhi
samajh rakha hai kyun chhoDen zamin-e-ku-e-jaanan ko
mujhe tum dekhte ho aur us hasrat se main tum ko
ki bulbul ru-e-gul ko aur gul bulbul ke arman ko
jahan mein KHana-zad-e-zulf ko kya chhoD dete hain
ki tum ne chhoD rakha mujh asir-e-zulf-pechan ko
mere sina par tum baiTho gala talwar se kaTo
KHat-e-taqdir main samjhun KHat-e-shamshir-e-burran ko
asiri hum ko achchhi thi ki aalam tha tamashai
bahut hum yaad karte hain takalluf-ha-e-zindan ko
na chhoDo dosh par gesu bharam khulta hai gesu ka
paDega tum ko kam karna meri shahba-e-hijran ko
mohabbat us ko kahte hain ki thi sahra-o-majnun mein
na sahra ne use chhoDa na majnun ne bayaban ko
visal-e-yar jab hoga mila degi kabhi qismat
tabiat mein tabiat ko dil-o-jaan mein dil-o-jaan ko
miTaya us ne kis kis ko bura ho is mohabbat ka
zuleKHa ki zuleKHai ko laila ki shabistan ko
zaban se kyun karen apni sataish aap hum 'raqim'
suKHan-dan jaanch lenge KHud nigahon mein suKHan-dan ko
- Book : Kulliyat-e-Raqim (Pg. 156)
- Author : Raqim Dehlavi
- Publication : Afzal-ul-Matabe, Dehli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.