KHata ki ai dil-e-nadan KHata ki
ḳhatā kī ai dil-e-nādāñ ḳhatā kī
tamannā kī to kis nā-āshnā kī
ḳhudā kī shaan ye qismat hinā kī
banī mashshāta us ke dast-o-pā kī
batā kar shoḳhiyāñ us ko adā kī
Duboī ham ne qismat mudda.ā kī
bayāñ sun kar mirā jalte haiñ shāhid
zabāñ meñ merī garmī hai balā kī
firāq-e-yār se ghuTne lagā dam
duhā.ī hai duhā.ī hai ḳhudā kī
mirā va.ada raqīboñ se vafā ho
huī tāsīr kyā ulTī duā kī
ka.ī din se vo ghabrā.e hue haiñ
rasā.ī kuchh huī āh-e-rasā kī
na kahte mudda.ā naḳhvat na hotī
ye ḳhūbī hai hamārī iltijā kī
hue ham ḳhaak bhī us rahguzar meñ
rahī hasrat hī vasl-e-naqsh-e-pā kī
vaqār-e-iltijā bhī ham ne khoyā
abas jā jā ke un se iltijā kī
ummīdeñ apnī sab qāyam raheñgī
agar vo haiñ ḳhudā.ī meñ ḳhudā kī
yahāñ to ho chukī 'rāqim' mulāqāt
tavaqqo.a baaqī hai roz-e-jazā kī
KHata ki ai dil-e-nadan KHata ki
tamanna ki to kis na-ashna ki
KHuda ki shan ye qismat hina ki
bani mashshata us ke dast-o-pa ki
bata kar shoKHiyan us ko ada ki
Duboi hum ne qismat muddaa ki
bayan sun kar mera jalte hain shahid
zaban mein meri garmi hai bala ki
firaq-e-yar se ghuTne laga dam
duhai hai duhai hai KHuda ki
mera wada raqibon se wafa ho
hui tasir kya ulTi dua ki
kai din se wo ghabrae hue hain
rasai kuchh hui aah-e-rasa ki
na kahte muddaa naKHwat na hoti
ye KHubi hai hamari iltija ki
hue hum KHak bhi us rahguzar mein
rahi hasrat hi wasl-e-naqsh-e-pa ki
waqar-e-iltija bhi hum ne khoya
abas ja ja ke un se iltija ki
ummiden apni sab qayam rahengi
agar wo hain KHudai mein KHuda ki
yahan to ho chuki 'raqim' mulaqat
tawaqqoa baqi hai roz-e-jaza ki
- Book : Kulliyat-e-Raqim (Pg. 186)
- Author : Raqim Dehlavi
- Publication : Afzal-ul-Matabe, Dehli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.