giran hain unki KHatar par zaban ki shoKHiyan meri
girāñ haiñ un kī ḳhātir par zabāñ kī shoḳhiyāñ merī
ilāhī band ho jaaye shikāyat kī zabāñ merī
rahī taqrīr meñ uljhī tamannā.ī bayāñ merī
na maiñ samjhā nigahbāñ kī na samjhā pāsbāñ merī
taġhāful ne baḌhā dī un kī āhañg-e-fuġhāñ merī
na tāb-e-zabt hai mujh ko na thamtī hai zabāñ merī
na vo kuchh merī sunte haiñ na un kā pāsbāñ merī
kashākash meñ tamannā hai taraddud meñ hai jaañ merī
bayān-e-dard-āgīñ hai kahegā jā ke kyā qāsid
hadīs-e-ārzū merī pareshāñ dāstāñ merī
balā haiñ shoḳhiyāñ un meñ ham-āġhoshī meñ kyā hoñgī
tabassum par pisī jaatī hai jān-e-nā-tavāñ merī
sadā-e-halqa-e-zanjīr dar-e-dil meñ khaTaktī hai
koī aatā hai yā aa.ī hai marg-e-nā-gahāñ merī
yahāñ tak ab to shohrat hai merī betābī-e-dil kī
navāsanj-e-chaman kahte haiñ ġham kī dāstāñ merī
bharā hai mudda.ā dil meñ kahūñ dil khol kar un se
agar dam-bhar bhī ruk jaa.e ye chashm-e-ḳhūñ-fishāñ merī
ḳhabar thī tujh ko yārab us kī tūl-e-ahd-o-paimāñ kī
ḳhizar kī sī baḌhā denī thī umr-e-jāvedāñ merī
gayā furqat kā ronā saath ummīd-o-tamanna ke
vo betābī hai aglī sī na chashm-e-ḳhūñ-chakāñ merī
gila kā ab gila kaisā shikāyat kī shikāyat kyā
udhar badlā tumhārā dil idhar badlī zabāñ merī
ye ranjish duur ho jaatī kabhī tum baiTh kar sunte
mire ġham kā bayāñ mujh se zabānī dāstāñ merī
abas karte ho tum 'rāqim' mirī tadbīr milne kī
ham-āġhoshī muqaddar un se yaañ merī na vaañ merī
giran hain un ki KHatir par zaban ki shoKHiyan meri
ilahi band ho jaye shikayat ki zaban meri
rahi taqrir mein uljhi tamannai bayan meri
na main samjha nigahban ki na samjha pasban meri
taghaful ne baDha di un ki aahang-e-fughan meri
na tab-e-zabt hai mujh ko na thamti hai zaban meri
na wo kuchh meri sunte hain na un ka pasban meri
kashakash mein tamanna hai taraddud mein hai jaan meri
bayan-e-dard-agin hai kahega ja ke kya qasid
hadis-e-arzu meri pareshan dastan meri
bala hain shoKHiyan un mein ham-aghoshi mein kya hongi
tabassum par pisi jati hai jaan-e-na-tawan meri
sada-e-halqa-e-zanjir dar-e-dil mein khaTakti hai
koi aata hai ya aai hai marg-e-na-gahan meri
yahan tak ab to shohrat hai meri betabi-e-dil ki
nawasanj-e-chaman kahte hain gham ki dastan meri
bhara hai muddaa dil mein kahun dil khol kar un se
agar dam-bhar bhi ruk jae ye chashm-e-KHun-fishan meri
KHabar thi tujh ko yarab us ki tul-e-ahd-o-paiman ki
KHizar ki si baDha deni thi umr-e-jawedan meri
gaya furqat ka rona sath ummid-o-tamanna ke
wo betabi hai agli si na chashm-e-KHun-chakan meri
gila ka ab gila kaisa shikayat ki shikayat kya
udhar badla tumhaara dil idhar badli zaban meri
ye ranjish dur ho jati kabhi tum baiTh kar sunte
mere gham ka bayan mujh se zabani dastan meri
abas karte ho tum 'raqim' meri tadbir milne ki
ham-aghoshi muqaddar un se yan meri na wan meri
- Book : Kulliyat-e-Raqim (Pg. 175)
- Author : Raqim Dehlavi
- Publication : Afzal-ul-Matabe, Dehli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.