is tarah gardan pe KHanjar ko lagate jaiye
is tarah gardan pe ḳhanjar ko lagāte jā.iye
ḳhuuñ se ālūda na ho dāman bachāte jā.iye
husn-e-zebā laakh nazroñ se bachāte jā.iye
aur khultā jā.egā jitnā chhupāte jā.iye
baat achchhī aap ne sīkhī hai ḳhush hogā raqīb
va.ade karte jā.iye saugand khāte jā.iye
kūcha-e-jānāñ meñ ādāb-e-vafā bhī chāhiye
gardan-e-taslīm ḳham ho sar jhukāte jā.iye
shāhidān-e-bāġh kī nāzish miTā do husn ke
kuchh tamāshā-e-qad-o-gesū dikhāte jā.iye
aap kā irshād nāseh ham ko hai dil se pasand
dard-e-dil kī bhī davā lekin batāte jā.iye
ġhair ke sau naaz tum par aur mujh par aap ke
aap dabte jā.iye mujh ko dabāte jā.iye
ka.aba-o-but-ḳhāna vaa.iz haiñ nishān-e-dīñ-fareb
dekheñ himmat aap kī in ko miTāte jā.iye
ġhair ke ghar meñ bhī 'rāqim' aaj tum hote chalo
ek chhachhūñdar chhoḌ kar kuchh gul khilāte jā.iye
is tarah gardan pe KHanjar ko lagate jaiye
KHun se aaluda na ho daman bachate jaiye
husn-e-zeba lakh nazron se bachate jaiye
aur khulta jaega jitna chhupate jaiye
baat achchhi aap ne sikhi hai KHush hoga raqib
wade karte jaiye saugand khate jaiye
kucha-e-jaanan mein aadab-e-wafa bhi chahiye
gardan-e-taslim KHam ho sar jhukate jaiye
shahidan-e-bagh ki nazish miTa do husn ke
kuchh tamasha-e-qad-o-gesu dikhate jaiye
aap ka irshad naseh hum ko hai dil se pasand
dard-e-dil ki bhi dawa lekin batate jaiye
ghair ke sau naz tum par aur mujh par aap ke
aap dabte jaiye mujh ko dabaate jaiye
kaba-o-but-KHana waiz hain nishan-e-din-fareb
dekhen himmat aap ki in ko miTate jaiye
ghair ke ghar mein bhi 'raqim' aaj tum hote chalo
ek chhachhundar chhoD kar kuchh gul khilate jaiye
- Book : Kulliyat-e-Raqim (Pg. 199)
- Author : Raqim Dehlavi
- Publication : Afzal-ul-Matabe, Dehli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.