kisi se dil lagana hum to sauda isko kahte hain
kisī se dil lagānā ham to saudā is ko kahte haiñ
maraz baiThe-biThā.e mol lenā is ko kahte haiñ
ġham-e-furqat hai khāne ko shab-e-ġham hai taḌapne ko
milā hai ham ko vo jiinā ki marnā is ko kahte haiñ
bahut maġhrūr haiñ sarv-o-sanobar qad-e-mauzūñ par
dikhā.eñge kisī qāmat ko zebā is ko kahte haiñ
vo bad-ḳhū hai jafā-jū hai sitamgar hai samajhtā huuñ
usī kā phir tamannā.ī huuñ saudā is ko kahte haiñ
hamārī aarzū kyā hai tamannā hai raqīboñ kī
ki be ḳhvāhish bar aatī hai tamannā is ko kahte haiñ
muqaddar khīñch lā.egā kabhī tum ko dikhā deñge
murādeñ yuuñ bar aatī haiñ tamannā is ko kahte haiñ
jab in nākāmiyoñ par munhasir hai zindagī apnī
ḳhudāyā marg kyā hogī jo jiinā is ko kahte haiñ
ḳhadañg-e-ishq tum khāte haqīqat tum pe kuchh khultī
mazā furqat kā aatā dil lagātā is ko kahte haiñ
na nikle jab koī armāñ na koī aarzū niklī
to apnī hasratoñ kā ḳhuun honā is ko kahte haiñ
mohabbat donoñ jānib ho to lutf-e-ishq hai varna
binā-e-ishq kā paanī pe rakhnā is ki kahte haiñ
ye kyā ishq-o-mohabbat hai na aate ho na milte ho
nahīñ ye khel laḌkoñ kā to phir kyā is ko kahte haiñ
kaaro is rañg se ḳhvāhish ki har ḳhvāhish meñ ḳhvāhish ho
vo sun kar kah uThīñ 'rāqim' taqāzā is ko kahte haiñ
kisi se dil lagana hum to sauda is ko kahte hain
maraz baiThe-biThae mol lena is ko kahte hain
gham-e-furqat hai khane ko shab-e-gham hai taDapne ko
mila hai hum ko wo jina ki marna is ko kahte hain
bahut maghrur hain sarw-o-sanobar qad-e-mauzun par
dikhaenge kisi qamat ko zeba is ko kahte hain
wo bad-KHu hai jafa-ju hai sitamgar hai samajhta hun
usi ka phir tamannai hun sauda is ko kahte hain
hamari aarzu kya hai tamanna hai raqibon ki
ki be KHwahish bar aati hai tamanna is ko kahte hain
muqaddar khinch laega kabhi tum ko dikha denge
muraden yun bar aati hain tamanna is ko kahte hain
jab in nakaamiyon par munhasir hai zindagi apni
KHudaya marg kya hogi jo jina is ko kahte hain
KHadang-e-ishq tum khate haqiqat tum pe kuchh khulti
maza furqat ka aata dil lagata is ko kahte hain
na nikle jab koi arman na koi aarzu nikli
to apni hasraton ka KHun hona is ko kahte hain
mohabbat donon jaanib ho to lutf-e-ishq hai warna
bina-e-ishq ka pani pe rakhna is ki kahte hain
ye kya ishq-o-mohabbat hai na aate ho na milte ho
nahin ye khel laDkon ka to phir kya is ko kahte hain
karo is rang se KHwahish ki har KHwahish mein KHwahish ho
wo sun kar kah uThin 'raqim' taqaza is ko kahte hain
- Book : Kulliyat-e-Raqim (Pg. 108)
- Author : Raqim Dehlavi
- Publication : Afzal-ul-Matabe, Dehli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.