kahte hain aane ko wo aaen na aaen dekhiye
kahte haiñ aane ko vo aa.eñ na aa.eñ dekhiye
shauq meñ kab tak hameñ rastā dikhā.eñ dekhiye
jaane do mujh par jafāoñ par jafā.eñ dekhiye
mujh se bhī hone lageñgī ab ḳhatā.eñ dekhiye
ibtidā-e-ishq meñ kyā kuchh hue mujh par sitam
aage aage kyā paḌīñ sar par balā.eñ dekhiye
aaj un se guftagū-e-vasl phir karne ko huuñ
ārzūeñ rā.egāñ hoñ yā bar aa.eñ dekhiye
vasl meñ iġhmāz karnā aap hī kar leñ ḳhayāl
phir mirī ḳhvāhish pe begāna adā.eñ dekhiye
ham-nafas haiñ maiñ huuñ qismat-azmā umīd-vār
kis ko tanhā paas apne vo bulā.eñ dekhiye
imtihāñ nazroñ meñ kar lo phir vafā khul jā.egī
merī ulfat dekhiye apnī jafā.eñ dekhiye
dil phirā hai un kī ḳhū se is qadar apnā nadīm
vo bulā.eñ ham ko ham jaa.eñ na jaa.eñ dekhiye
rūkhe-rūkhe bolte ho ye koī andāz hai
rañg-e-ulfat ko miTā deñge adā.eñ dekhiye
un se karne jaate haiñ 'rāqim' taqāzā vasl kā
shaad ho kar aa.eñ yā nāshād aa.eñ dekhiye
kahte hain aane ko wo aaen na aaen dekhiye
shauq mein kab tak hamein rasta dikhaen dekhiye
jaane do mujh par jafaon par jafaen dekhiye
mujh se bhi hone lagengi ab KHataen dekhiye
ibtida-e-ishq mein kya kuchh hue mujh par sitam
aage aage kya paDin sar par balaen dekhiye
aaj un se guftagu-e-wasl phir karne ko hun
aarzuen raegan hon ya bar aaen dekhiye
wasl mein ighmaz karna aap hi kar len KHayal
phir meri KHwahish pe begana adaen dekhiye
ham-nafas hain main hun qismat-azma umid-war
kis ko tanha pas apne wo bulaen dekhiye
imtihan nazron mein kar lo phir wafa khul jaegi
meri ulfat dekhiye apni jafaen dekhiye
dil phira hai un ki KHu se is qadar apna nadim
wo bulaen hum ko hum jaen na jaen dekhiye
rukhe-rukhe bolte ho ye koi andaz hai
rang-e-ulfat ko miTa denge adaen dekhiye
un se karne jate hain 'raqim' taqaza wasl ka
shad ho kar aaen ya nashad aaen dekhiye
- Book : Kulliyat-e-Raqim (Pg. 177)
- Author : Raqim Dehlavi
- Publication : Afzal-ul-Matabe, Dehli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.