mai na ho shisha na ho mutrib na ho saghar na ho
mai na ho shisha na ho mutrib na ho saghar na ho
Raza Firangi Mahali
MORE BYRaza Firangi Mahali
mai na ho shīsha na ho mutrib na ho sāġhar na ho
kuchh na ho saaqī agar pahlū meñ vo dil-bar na ho
kyā bahār-e-zindagī pahlū meñ jab dil-bar na ho
kyuuñ gul-e-qālīñ shab-e-ġham ḳhaar se bad-tar na ho
kis tarah fitrāk meñ bāñdhe vo qātil ba.ad-e-qatl
paañv paḌne ke bhī qābil jab hamārā sar na ho
jis tarah jauhar alag hotā nahīñ talvār se
yuuñ judā dil se ḳhayāl-e-ābrū dilbar na ho
hoñ vo saudā.ī nahīñ chāk-e-garebāñ kī ḳhabar
aadmī itnā bhī apne jaama se bāhar na ho
’umr bhar yād-e-rindāñ meñ giryāñ rahā
qabr par juz dāman-e-shabnam koī chādar na ho
ye bhī ik adnā asar hai jhūTe va.adoñ kā huzūr
aap kā iqrār-e-vasl aur mujh ko vo bāvar na ho
’uzr kuchh mujh ko nahīñ qātil tū bismillāh kar
sar ye hāzir hai magar ehsān mere sar na ho
riñd bhī hāzir haiñ mahfil meñ marammat ke liye
yuuñ mazammat mai kī ai vaa.iz sar-e-mimbar na ho
ḳhaar chubhte haiñ jo talvoñ meñ allāh re junūñ
maiñ samajhtā huuñ ki ye fassād kā nashtar na ho
tazkire par hashr ke kahtā hai vo kam-sin mirā
lutf jab hai ham hoñ tum ho dāvar-e-mahshar na ho
kaste haiñ āvāz aksar sham'-e-rūyān-e-jahāñ
sham.a-e-mahfil meñ kahīñ goyā 'razā' jal kar na ho
mai na ho shisha na ho mutrib na ho saghar na ho
kuchh na ho saqi agar pahlu mein wo dil-bar na ho
kya bahaar-e-zindagi pahlu mein jab dil-bar na ho
kyun gul-e-qalin shab-e-gham KHar se bad-tar na ho
kis tarah fitrak mein bandhe wo qatil baad-e-qatl
panw paDne ke bhi qabil jab hamara sar na ho
jis tarah jauhar alag hota nahin talwar se
yun juda dil se KHayal-e-abru dilbar na ho
hon wo saudai nahin chaak-e-gareban ki KHabar
aadmi itna bhi apne jama se bahar na ho
’umr bhar yaad-e-rindan mein giryan raha
qabr par juz daman-e-shabnam koi chadar na ho
ye bhi ek adna asar hai jhuTe wadon ka huzur
aap ka iqrar-e-wasl aur mujh ko wo bawar na ho
’uzr kuchh mujh ko nahin qatil tu bismillah kar
sar ye hazir hai magar ehsan mere sar na ho
rind bhi hazir hain mahfil mein marammat ke liye
yun mazammat mai ki ai waiz sar-e-mimbar na ho
KHar chubhte hain jo talwon mein allah re junun
main samajhta hun ki ye fassad ka nashtar na ho
tazkire par hashr ke kahta hai wo kam-sin mera
lutf jab hai hum hon tum ho dawar-e-mahshar na ho
kaste hain aawaz aksar sham'-e-ruyan-e-jahan
shama-e-mahfil mein kahin goya 'raza' jal kar na ho
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 16)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.