kam se kam itna buzurgon ka asar rakhte hain
kam se kam itnā buzurgoñ kā asar rakhte haiñ
yaar ko apne manāne kā hunar rakhte haiñ
apnī ulfat kā 'ajab ham bhī asar rakhte haiñ
husn tum rakhte ho ham husn-e-nazar rakhte haiñ
maiñ bhaTak jā.ūñ kabhī ho nahīñ saktā hargiz
tum ne jab kah diyā ham tum pe nazar rakhte haiñ
kyuuñ sunātā phirūñ rūdād zamāne bha ko
mere har haal kī jab aap ḳhabar rakhte haiñ
chand kirneñ liye be-kār hai raushan duniyā
vo to Thokar pe suno shams-o-qamar rakhte haiñ
aap aa jaa.eñ to dīdār-e-'aqīdat kar leñ
apne hoñToñ pe yahī shām-o-sahar rakhte haiñ
aap kā haath hai sar par to bahut hai 'ālam'
ham kahāñ apne liye la.al-o-gauhar rakhte haiñ
kam se kam itna buzurgon ka asar rakhte hain
yar ko apne manane ka hunar rakhte hain
apni ulfat ka 'ajab hum bhi asar rakhte hain
husn tum rakhte ho hum husn-e-nazar rakhte hain
main bhaTak jaun kabhi ho nahin sakta hargiz
tum ne jab kah diya hum tum pe nazar rakhte hain
kyun sunata phirun rudad zamane bha ko
mere har haal ki jab aap KHabar rakhte hain
chand kirnen liye be-kar hai raushan duniya
wo to Thokar pe suno shams-o-qamar rakhte hain
aap aa jaen to didar-e-'aqidat kar len
apne honTon pe yahi sham-o-sahar rakhte hain
aap ka hath hai sar par to bahut hai 'alam'
hum kahan apne liye lal-o-gauhar rakhte hain
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 198)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.