tum hamesha mohtaram ho sab chamak-daron ke bich
tum hamesha mohtaram ho sab chamak-dāroñ ke biich
aur raho ḳhurshed kī mānind mah-pāroñ ke biich
'ishq ho sachchā agar to ye bhī hotā hai karam
baaġh detā hai banā kar ham ko añgāroñ ke biich
maiñ to bikne ke liye tayyār huuñ har gaam par
kaun lā.egā bulā kar un ko bāzāroñ ke biich
yuuñ to jalva-gar the lākhoñ mah-jabīn-o-dil-nashīñ
chun liyā tum ko nazar ne ā.īna-dāroñ ke biich
saarī tārīḳheñ palaT lo ye sanad na pāoge
ik anā kā bāñkpan hai kitnī talvāroñ ke biich
marhabā sad marhabā jis ne sunā kahne lagā
tum hī tum aa.e nazar 'ālam ke nazāroñ ke biich
tum hamesha mohtaram ho sab chamak-daron ke bich
aur raho KHurshed ki manind mah-paron ke bich
'ishq ho sachcha agar to ye bhi hota hai karam
bagh deta hai bana kar hum ko angaron ke bich
main to bikne ke liye tayyar hun har gam par
kaun laega bula kar un ko bazaron ke bich
yun to jalwa-gar the lakhon mah-jabin-o-dil-nashin
chun liya tum ko nazar ne aaina-daron ke bich
sari tariKHen palaT lo ye sanad na paoge
ek ana ka bankpan hai kitni talwaron ke bich
marhaba sad marhaba jis ne suna kahne laga
tum hi tum aae nazar 'alam ke nazaron ke bich
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 219)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.